Ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main ||Anjuman Imamia Kareempur Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India ||

Zindan main yeh kahti hai Sakina (sa) mere bhaiyya 
ab aur kitne din hamen rahna qaid main 
kya ab nahi qismat main Sakina sa ki madina 
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

kya jaaniye is desh ka kaisa yeh chalan hai *2
zindan main bhi gardan meri pa band e rasan hai *2 
ammu jo mere hote to yeh haal na hota *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

kab khahar e beemar ka deedar karungi *2
Sughra sa se gale mil kay use pyar karungi *2
bechain bahut hogi watan main meri Sughra sa *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

hai qaut kay kanton se gala aap ka zakhmi *2
bedi ki ragad se nazar aane lagi haddi *2
dushwar hai langar kay sabab aap ka jhukna *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

is dard ki mari ko faqat itna bate den *2
kyon baith kay padhti hain phuphi amma namazen *2
kya ab phuphi amma se utha bhi nahi jata *2
ab aur kinte din hamen rahna hai qaid main 

haddi kay chatakhne ki sada aati hai tan se *2
aye bhiayya nikalne ko hai ab rooh badan se *2
ab pyas ki shiddat se hai mushkil mera jeena *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main

duniya se kisi roz guzar jaun agar main *2
tanhai main rote huway mar jaun agar main *2
bhaiyya meri ghurbat peh na tum ashk bahana *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

khoon jam gaya zakhon ka main tadbeer karun kya *2
gassala dam e gusl jo puche to yeh kahna *2
hoga na juda mere badan se mera kurta *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

lena na kafan aaye jo zalim koi le kar *2
mujh ko jale kurte main he dafnana brother *2
majboor bahen ki yeh waseeyat na bhulana *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

aye bhiayya bhulana na bahen ki yeh guzarish *2
is be kaso muztar ki hai yeh aakhri khahish *2
nam mitti main dafnana brother mera lasha *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

zanjeer bandhe hath peh mayyat ko utha kar  *2
jab qabr main tum mujh ko utaro gay brother *2
tum lash sanbhalo gay ki tauq apne gale ka *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

mil jaye jo chadar meri turabat peh udhana *2
aur baliyan meri meri Sughra sa ko pinhana *2
kahna ki Sakina sa ne diya hai yahi tohfa *2
ab kitne din hamen rahna hai qaid main 

kyon itne andhere main mujhe qaid kiya hai *2
sanse meri rukne lagi dam ghutne laga hai *2
kab raat hai kab din hai pata kuch nahi chalta *2 
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main 

aye ZULFEQAR us waqt yeh Abid as ne sada di *2
humsheer madina nahi qismat main tumhari *2
ro kar na kaho apne brother se khudara *2
ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida