Salam Imam Sajjad (as) 25 Muharram Shahadat Imam Zainul Abdin (as)
(Salam) Tauq o zanjeero main jakde huway aaye Sajjad (as) Khoon aankho'n se sare sham bahaye Sajjad (as) Baad Shabbeer (as) ju'n he sham e ghareeba'n aai Koi yawar na raha kya kare Zahra (sa) jayee Jalte Khaimo'n se tujhe kaun bachaye Sajjad (as) Dil peh Sajjad (as) kay kya kya na sitam dhaye gaye Qaid kar kay sare bazar haram laye gaye Waqt aisa na kisi par kabhi aaye Sajjad (as) Haye majbooriye Sajjad (as) khuda khair kare Tauq o zanjeero main beemar mera jakde huway Lasha kis tarah Sakina (as) ka uthaye Sajjad (as) Shukr har gaam kiya rub ka mere maula ne Zulm har aik saha ik ne shahe wala ne Shikwaye ranj kabhi lub peh na laye Sajjad (as) Waqt Sajjad (as) peh woh kitna kada guzra hai Jisko tareekh ne gairat ka khuda likhkha hai Khoon rota raha maula mera haye Sajjad (as) Farsh majlis ka bicha kay yeh dua karta hun Main g...