Nauha BiBi Sakina (sa) || Sham kay zinda'n main tanha haye jab ho jayegi
Nauha Sham kay zinda’n main tanha haye jab ho jayegi Yaad baba ki Sakina (sa) ko bahut tadpayegi Aik jhula jal gaya hai dusra mil jayega Par sulane kay liye Asghar (as) kahan se layegi Aye musalmo’n batao kay andheri qaid main 4 salo’n ki yeh bachchi kitne din jee payegi Baap kay seene peh sone ki badi aadi hai yeh Khak kay bistar peh isko need kaise aayegi Chod kar tanha bahen ko chal diye Abid (as) kahan Raat bhar zindan ki deewaron se takrayegi ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri India