Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya

                          Nauha
Kahti thi yeh Sajjad (as) se ro ro kay Sakina (sa) 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 
dushwar hai ab sham kay zindan main jeena 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

bhaiyya mujhe is qaid main need aati nahi hai 
Cut jata hai din raat guzar pati nahi hai 
Bistar hai na takya na yahan baba ka seena 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

Main roti hun jab yaad main baba ki tadap kar 
dete hain mujhe ghudkiyan aa aa kay sitamgar 
is qaid e sitam main to hai rone peh bhi pahra 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

Ammu bhi mujhe aa ke dilasa nahi dete 
Baba bhi to ab goad main aa kar nahi lete 
kya meri khata hai ki har ik mujhe se hai rootha
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

Kamsin hun yateema hun main aur gham ki satai 
Koi bhi meri sunta nahi aa kay duhai
Tadpata hai har pal mujhe is baat ka sadma 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

Is darja masayeb se pareshan hun bhai 
Lagta hai ki kuch rose ki mehman hun bhai
Ab maut ka aata hai mere rukh peh paseena 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

Woh pyas ka aalam hai ki dil baith raha hai 
Kuch aisa mera gham hai ki dil baith raha hai 
Saso'n se juda hone ko hai ab mera rishta 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

Yaad aata hai har waqt mujhe shahr e madina 
Bechain mere hijr main hogi meri bahna 
Dushman hai sabhi koi yahan par nahi apna 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

Bhaiyya yeh parinde to chale jate hain ghar ko
Kab jayengay hum laut kay itna to bata do 
Kuch dair ko mil jaye mere dil ko dilasa 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

Yeh kahte huway khak peh munh rakh kay woh bachchi
Soi to magar need se roti hui jagi 
Aur bhai se boli ki abhi aaye thay baba
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 

Sad haif watan ja na saki bali Sakina (sa)  
Aye chand suway khuld sidhari woh yateema
Rahta tha sada jis kay labon par yahi jumla 
Kab hoga watan laut kay jana mere bhaiyya 


............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search on Zeya Jalalpuri 
                   India 


Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida