Posts

Showing posts from December, 2020

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) || Kadi Hai Dhoop Qabr e Sayyada (sa) Hai

                          (Salam) Kadi hai dhoop qabr e Sayyada (sa) hai Sitam ki inteha mere khuda hai Tadap kay rooh e Ahmed kah rahi hogi Sila kya khoob mujh ko yeh diya hai Sanad kay kar diye zalim ne tukde Nabi zadi peh kaisi yeh jafa hai Khadi darbar main kab se hui hai Musalmano yeh binte Mustafa hai Sitam ki had to dekho aag le kar Shaqi woh dar peh Zahra (sa) kay khada hai Jala dala nabi zadi kay ghar ko Fiza main haye baba ki sada hai Na jee payi’n pidar kay baad bibi Sitam kaisa laeeno'n ne kiya hai Sabhi rote hain pursa daar Kami Ki nauha tu ne yeh aisa likha hai   Poet:Kamran Kami (Pakistan)   ………..Zeya Abbas (Haideri)………… YouTube Search On Zeya Jalalpuri                       India From Blogger iPhone client

Nauha Bibi Fatima Zahra (sa) || Fatima (sa) ka bhare madine main, gham batane koi nahi aaya

             (Nauha) Ghar jalane to kalma go aaye, ghar bachane koi nahi aaya Fatima (sa) ka bhare madine main, gham batane koi nahi aaya Kya woh islam ka he marqaz tha, kya madina tha woh Mohammad ka Lag rahe thay jahan peh Zahra (sa) kay, taziyane koi nahi aaya Rassiya’n thi Ali (as) ki gardan main, log bazar se guzarte thay Sub tamachayi ban kay takte rahe, par chudane koi nahi aaya Dar jala qatl ho gaye mohsin, pasliya’n Sayyada (sa) ki toot gayi’n Phir bhi kahte ho tum yeh Zahra (sa) par, zulm dhane koi nahi aaya Khud he chunne lagi nabi zadi, bikhri tahreer apne baba ki Mustafa ki sanad kay tukdo’n ko, jab uthane koi nahi aaya Har sitam Fatima (sa) peh dhaya gaya, jalta darwaza bhi giraya gaya Apne Mehdi (as) ko di sada usne,  jab bachane koi nahi aaya Aath shawwal ko hui Akbar , phir shahadat nabi ki beti ki Gir raha tha mazar bibi ka, par bachane koi nahi aaya   Poet: Janab Akbar Sahab Reciter : Meesum Gopalpuri UP In...

Salam Bibi Sakina (sa) || Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa)

                        (Salam) Daurane qayamat hai safar ka yeh mahina Shahzadi Sakina (sa), x2 Maut aagayi zindan main aaya na madina Shahzadi Sakina (sa), x2 Jhule kay liye hain kabhi Abbas (as) ka bazu, Sajjad (as) kay pahlu x2 Sone kay liye Hazrat e Shabbeer (as) ka seena Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa) Humshakl e payamber jo hai bibi ki sawari Zainab (sa) bhi hai wari x2 Banta hai citara jo tapakta hai paseena Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa) Islam kay parcham peh hai tasveer e halali Yeh kano'n ki bali x2 Qadmo’n kay nishanaat hain aflak ka zeena Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa) Aye mashale haq rahat e jaan e dil e mather Sarmaya e sarwar x2 Gir gir kay sikhaya hamen chalne ka qareena Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa) Lahrati rahegi you’n he islam kay sar par Yeh choti si chada...

Salam Imam Raza (as) || Bekas Imam Mera Duniya se Chal Basa Hai

                         (Salam) Bekas Imam (as) mera duniya se chal basa hai Aale nabi peh kaisa toota sitam khudaya Kis ko zaher diya hai mamoon tujh peh lanat Kis par sitam kiya hai mamoon tujh peh lanat Aayi sada yeh haq se ummat ka peshwa hai Kaise na sar ko peete’n kyon kar Karen na matam Maula Raza (as) kay gham main hai sogwar aalam Ahle aza kay gham se mahshar bapa hua hai Farshe aza peh baithi’n mahwe buka’n hain Zahra (sa) Maula Imam e Mehdi (as) ghaibat main roye mera Misl e sutoon e kaba ummat ne dha diya hai Arshe baree’n peh matam farshe zamee’n peh matam Sar peeto momino sub ghurbat ka hai yeh aalam Zaher e jafa se tukde tukde jigar hua hai Sultan e shah e mashhad arb o ajam kay maula Farzand e moosa kazim be wariso’n kay maula Matam karo Raza (as) ka taboot uth raha hai   Poet: Kamran Kami (Pakistan)  ...

Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain

                      (Nauha) Kis tarah bandhe hatho’n se ghusl diya hoga  Aur khoon bhara kurta woh jism se chipka tha  Kya haal hua hoga yeh dekh kay Abid (as) ka  Yeh sonch kay aankho’n main, aansu chale aate hain  Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain  Bahna bahna kah kar, seene se lagate hain  Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain  Nazkeed Sakina (sa) kay Sajjad e (as) hazee’n aaye  Chehre peh nazar padte he lab peh yahi laye  Is aalam e ghurbat main kya kya hain sitam dhaye  Sub bibiyo’n ko Abid (as), nazdeek bulate hain  Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain    Doobi huyi nabze’n hain aur jism bhi thanda hai  Aur maut ka bachchi kay mathe peh paseena hai  Need aayi use kaise takiya na bichona hai  Sajjad e (as) hazee’n lab per, faryad yeh late hain  Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain  Woh sh...

Kaha yeh Zainab (sa) ne qabr e shah par, batao kya kya sunau’n bhaiyya

                                  (Nauha) Kaha yeh Zainab (sa) ne qabr e shah par, batao kya kya sunau’n bhaiyya Main sath layi hun chand tohfe, jo tum kaho to dekhau’n bhaiyya   Tumhare seene peh sone wali, lahed main aaram kar rahi hai Jo mera Abbas (as) usko puche, kahan se bachchi ko lau’n bhaiyya   Dayar e kufa main hum jo pahunche, to daur baba ka yaad aaya Bahen ne kya inqelab dekha, yeh tum ko kaise sunau’n bhaiyya   Jo mera wali mujhe bulaye, to mujh peh aayegi ik qayamat Hain bazuo’n par nisha’n rasan kay, main samne kaise jau’n bhaiyya   Lahed peh amma’n ki jaungi main, tumhara kurta sipurd karne Jo tum kaho to salam kar kay, main bazuo’n ko dekhau'n bhaiyya   Ba waqt e rukhsat mazar e sarwar, peh aik mahshar bapa tha Akhtar Bahen yeh kahti thi bin tumhare, watan ko kaise main jau’n bhaiyya   Poet: Janab Akhtar Sahab ...

Chehlum Salam || Zainab (sa) tadap kay karti hai nauha forat par

                  (Salam) Zainab (sa) tadap kay karti hai nauha forat par Aayi hai tujh ko rone yeh bahna forat par Zinda’n main rote rote Sakina (sa) guzar gayi Aye bhai us ka lijiye pursa forat par Hai karbala main aaj chehlum Hussain (as) ka Matam hai har shaheed ka barpa forat par Sun kar janabe Saniya Zahra (sa) ka marsiya Tadpa Ali (as) kay sher ka lasha forat par Aao dua yeh ghazi se Kami Zeya kare’n Aaye’n yeh ban kay aap kay saqqa forat par Poet: Kamran Kami (Pakistan) …………Zeya Abbas (Haideri)………… YouTube Search On Zeya Jalalpuri                           India  

Chehlum Salam || Zainab (sa) suna rahi hain yeh nauha forat par

                              (Salam) Zainab (sa) suna rahi hain yeh nauha forat par Chehlum manane aayi hun bhaiyya forat par Jee bhar kay tujh peh roti woh phuphiyo’n kay sath sath Hoti jo mere sath Sakina (sa) forat par Yeh kah kay woh tadapti thi zindan e sham main Haye ujad gayi meri duniya forat par Main apne bazuo’n pah nishan e rasan kay sath Layi hun aik dard ka dariya forat par   Beparda mujh ko dekh kay rota tha tera sar Kaise karun main zikr rida ka forat par   Us din samjh gayi thi ki chadar chinegi ab Jab yeh suna tha so gaya saqqa forat par   Sunti hun teri lash bhi pamaal ho gayi Tukdo’n main but gaya tera lasha forat par   Parde ka ahtemam to kar de Ali (as) ka sher Nauha padhegi Saniye Zahra (sa) forat par   Turbat peh teri ashko’n ki shamme jalaungi Hoga na ab kabhi ...

Salam Maula Hasan (as) || Matam hai madine main shabbar (as) ki shahadat ka

                              (Salam) Matam hai madine main shabbar (as) ki shahadat ka Shabbeer (as) peh aaya hai kya waqt yeh ghurbat ka   Kahti thi yahi Zainab (sa) Shabbar (as) kay janaze par Gham kaise sahe Zainab (sa) bhaiyya teri furqat ka   Tukde dil e Shabbar (as) kay dekhega zamana phir Aashur kay daman main manzar hai qayamat ka   Taboot peh Shabbar (as) kay jab teer e sitam aaye Abbas (as) peh tha kaisa yeh waqt museebat ka   Kamsin hai yeh shahzada baitha hua sakte main Qasim (as) ko bhi pursa do Shabbar (as) ki shahadat ka   Shabbar (as) ki shahadat hai Shabbeer (as) kay parwano Shabbeer (as) ko pursa do Shabbar (as) ki shahadat ka   Pakne lagi shaq ho kar us waqt zamee’n paiham Kya ho ga asar soncho us zaher ki shiddat ka   Woh zaher e sitam pahuncha Shabbar (as) kay...

Salam Maula Hasan (as) || Azadaro karo matam bicha kay farsh shabbar (as) ka

                                                      (Salam) Zaher ne kar diya tukqe jigar Zahra (sa) kay dilbar ka Azadaro karo matam bicha kay farsh shabbar (as) ka   Ali (as) ka lal duniya se hua rukhsat zaher se jab Bapa aalam hua Zahra (sa) kay ghar main aik mahshar ka   Feraaq e gham se roye is qadar rukte nahi aansu Hasan (as) kay lashe par tha haal yeh sibte payamber ka   Janaze par Hasan (as) kay dekhiye teero’n ki hai barish Janaza khoon main tar ho gaya dil band e Haider (as) ka   Dafan nana kay pahlu main nahi hone diya jab ki Woh zalim jante thay yeh nawasa hai payamber ka   Janaza uth raha hai mujtaba (as) ka aaj duniya se Jahan main kyon na ho matam bapa ummat kay rahbar ka   Diya raushan hua jo ilm o hikmat ka zamane main Bujhaya zulm se har woh diya Zahra (sa) tere gha...

Nauha Maula Hasan (as) || Lakhte jigar ugalte hain Shabbar (as) Hussainiyo

                        (Nauha) Lakhte jigar ugalte hain Shabbar (as) Hussainiyo Parba hai Ahlebait (as) main mahshar Hussainiyo Joada ne haye shah ko aakhir kiya shaheed Pani kay sath zahr mila kar Hussainiyo   Kya waqeya ghazab ka madine main ho gaya Hilti hai aaj qabr e payamber Hussainiyo   Qasim (as) yateem hota hai bin bhai kay Hussain (as) Kahti hai ro kay Zainab e (sa) muztar Hussainiyo   Roohe Batool (sa) khak udati hai lash par Sar peet te hain fatahe khaibar Hussainiyo   Taboot par Hasan (as) kay chadhate hain ashqiya phuloo’n kay badle teero’n ki chadar Hussainiyo   Hilmi ki maghferat ki dua kijiye zarur Bahr e Hasan (as) wa bahr e payamber Hussainiyo Poet: janab Hilmi Sahab  ............Zeya Abbas (Haideri)........... YouTube Search On Zeya Jalalpuri                           India ...

Pahunche qareeb e shahr e madina to ro diye

                      (Salam) Pahunche qareeb e shahr e madina to ro diye Abid (as) ka dil ghamo’n se bhar aaya to ro diye   Pao’n main aable thay chale aur thaher gaye Rauza Rasool ka nazar aaya to ro diye   Baithe zamee’n peh sar ko jhukaye huway Imam (as) Saya kiya kisi ne rida ka to ro diye   Abbas (as) ki wafa ka shujaat ka zikr tha Bete na aa kay baap ko pucha to ro diye   Ummul banee’n ko bete ka pursa diya magar Sughra (sa) ko de sake na dilasa to ro diye   Farmate thay shaheed huway aqroba tamam Besheer (as) ko kisi ne jo pucha to ro diye   Rudaad karbala ki sunaya kiye Imam (as) Jab zikr e shaher e sham ka aaya to ro diye     …………Zeya Abbas (Haideri)………… YouTube Search On Zeya Jalalpuri                    India

Salam Hazrat Qasim (as) || Qasim (as) Ka Lasha Ran Se Shabbeer (as) La Rahe Hain

                          (Salam) Qasim (as) ka lasha ran se Shabbeer (as) la rahe hain Lasha uthaye Sarwar (as) aansu baha rahe hain Hai bekasi ka aalam aao madad ko Akbar (as) Kaise uthaye'n lasha Qasim (as) ka ibne Haider Abbas (as) ho kahan par maula bula rahe hain Sabr o raza ka khaliq aisa kahin peh dekha Apne jawa’n pisar kay seene se khainche naiza Yeh dekh kay sitamgar sub muskura rahe hain   Zahra (sa) ka lal tum se 2 boond pani mange De do zara sa pani Asghar (as) bahut hain pyase Shah ko dikha kay zalim pani baha rahe hain   Aalam hai bebasi ka tum aise waqt aaye Zahra (sa) ka lal roti aankho’n se muskuraye Maula gale se hur   ko apne laga rahe hain   Bole Hussain (as) Zainab (sa) yeh ghar tere hawale Himmat na harna tum kaisa bhi waqt aaye Yeh kah kay shahe wala maqtal ko ja rahe hain   Kami yeh aarzu hai likhta rahun main nauhe Dil chahet...

Salam Maula Sajjad (as) || Rasan Basta Gale Main Tauq Hai Beemar Hai Chup Hai

                           (Salam) Rasan basta gale main tauq hai beemar hai chup hai Imam e waqt hai har cheez ka mukhtar hai chup hai   Badhata hai qadam aage to aankhe’n khoon roti hain Jhukaye sar hai ki yeh sham ka bazar hai chup hai   Phuphi amma’n ka khutba haideri lahje main sunta hai Zuba’n se kuch nahi kahta ki yeh darbar hai chup hai   Kaha Shabeer (as) ne Abid (as) teri mushkil kathin hogi Ki tera imteha’n darbar hai bazar hai chup hai   Yahi hai Abid o sajda guzaro’n ka sakhi aaqa Ki suraj so gaya sayyad magar bedar hai chup hai   Uthaye hai jawani aik nanhe se janaze ko Bandhe hatho’n se kar kay qabr ik tayyar hai chup hai   Qalam ko tod do likh kar yahi jumla faqat Zahra Ki yeh ghairat ka rab hai sabr ka meyaar hai chup hai   Poet: Urooj Zahra Zaidi   …………Zeya Abbas (Haideri)………… YouTube Search On Zeya Jalalpuri ...

Salam Bibi Zainab || Ghabrayegi Zainab (sa), Ghabrayegi Zainab (sa)

                          (Salam) Ghabrayegi Zainab (sa), Ghabrayegi Zainab (sa) Jab ho kay riha qaid se ghar jayegi Zainab (sa) Ghabrayegi Zainab (sa), Ghabrayegi Zainab (sa) Aagosh kay palo’n ko kahan payegi Zainab (sa) Ghabrayegi Zainab (sa) Bin bhai kay veeran nazar aayega madina,                                                  ho ga yeh qareena Puchegi jo Sughra (sa) to tadap jayegi Zainab (sa)                                                 G...