Salam Bibi Sakina (sa) || Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa)
(Salam)
Daurane qayamat hai safar ka yeh mahina
Shahzadi Sakina (sa), x2
Maut aagayi zindan main aaya na madina
Shahzadi Sakina (sa), x2
Jhule kay liye hain kabhi Abbas (as) ka bazu,
Sajjad (as) kay pahlu x2
Sone kay liye Hazrat e Shabbeer (as) ka seena
Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa)
Humshakl e payamber jo hai bibi ki sawari
Zainab (sa) bhi hai wari x2
Banta hai citara jo tapakta hai paseena
Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa)
Islam kay parcham peh hai tasveer e halali
Yeh kano'n ki bali x2
Qadmo’n kay nishanaat hain aflak ka zeena
Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa)
Aye mashale haq rahat e jaan e dil e mather
Sarmaya e sarwar x2
Gir gir kay sikhaya hamen chalne ka qareena
Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa)
Lahrati rahegi you’n he islam kay sar par
Yeh choti si chadar x2
Doobe ga na ab hashr talak haq ka safeena
Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa)
Batil kay andhero’n main hai eamaa’n ki pahcha’n
Zindan ki mehma'n x2
Augushtari e dasht e shahadat ka nageena
Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa)
Aulad meri aap kay khuddam ki naukar
Is dar ki gada gar x2
Wabasta e darbar hai marna ho ki jeena
Shahzadi Sakina (sa), Shahzadi Sakina (sa)
…………Zeya Abbas (Haideri)………..
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment