Posts

Showing posts from May, 2018

Salam Maula Abbas (as) Mere Hath Nahi Hai

                                Salam Jab hath qalam ho chuke Abbas e (as) jari kay  Nauha Hussain (as) karte huway yeh dasht main pahunche  sanse abhi rawan thi Alamdar yeh bole  mahrooom e ziyarat ka salam e akheer hai ik aankh main lahu hai laga ik main teer hai aaqa mere maula aaqa mere maula  main kaise uthun aaqa mere hath nahi hai paon nahi chu sakta mere hath nahi hai  aaqa yeh ghulami ka sila kaisa diya hai kis pyar se sar aap ne zanu peh rakha hai  uth kar salam karta mere hath nahi hai jo hath tere kaam na aaye mere maula  bachpan main he cut jate to hota bahut acha  tum inko nahi choona mere hath nahi hai dil rota hai marte huway kya be adbi hai  jin hath kay cutne se kamar shah ki jhuki hai  seedhi nahi kar sakta mere hath nahi hai  bhari hai alam tum na uthao ise  maula  tooti hai kamar dekhiye tanha na uth...

Jab ghir gaye kufe main Muslim (as) kay dulare

Noha Jab ghir gaye kufe main Muslim (as) kay dulare Pardes main tanha thay taqdeer kay mare Dono bachcho ka wahan koi madad gar na tha Sirf tanhai thi yawar na thay ghamkhar na tha Woh bhatakte rahe dar dar koi dildar na tha Koi dono ki madad karne ko tayyar na tha Thak kar kay jo girta tha kabhi chota brother Chalta tha bada bhai use goad main le kar Jab………………………………………................... Chote bhai ne bade bhai se ro kar pucha Bhaiyya itna to bata do ki kahan hain baba Hum musafir hain yahan koi nahi hai apna Hum ko pardes main ab kaun sahara dega Har simt andhera hai kahan jayengay bhai Lagta hai hamen baba na mil payengay Jab……………………………………....................... Raat kali thi andhere main woh dono bachche Sahme samhe huway ik paid peh chup kar baithe Raat bhar lipte thay aapas main woh gham kay mare Sisikiyan lete thay aur rote thay chupke chupke Aahat jo koi hoti to ghabrate thay dono Patte bhi khadakte thay to dar jate thay dono Jab...

Ho Gaye Muslim (as) Shaheed

Haye Muslim (as) Hai qayamat ka sama Ho gaye Muslim (as) shaheed Shahr e kufa main qayamat zalimon ne dhai hai Muslim e (as) bekas ki mayyat dar par latkai hai Ro raha hai aasma'n Ho gaye Muslim (as) shaheed Aik pardesi peh haye yeh sitam dhaya gaya Usko tadpaya gaya aur usko rulwaya gaya Har taraf hai gham aya'n Ho gaye Muslim (as) shaheed Aik Ibrahim tha aur ik mohammad tha pisar Dhodhti thi dono beton ko he Muslim (as) ki nazar Thay woh nazron se neha'n Ho gaye Muslim (as) shaheed Apne ghar le jane wala ik faqat hani mila Marte dam bhi haye Muslim (as) ko nahi pani mila Kufe main tashna dahen Ho gaye Muslim (as) shaheed Jis shaher main ban kay hakim rahte thay Maula Ali (as) Jis shaher ki shahzadi thi Ali (as) ki ladki Taigh o khanjar se wahan Ho gaye Muslim (as) shaheed Padh rahe thay Hazrat e Muslim (as) kay peeche sub namaz Khatm ki apni safeer e karbala ne jab namaz Tanha Muslim (as) thay wahan Ho gaye Muslim (as) shaheed ............Zeya...

Sughra (sa) ko rulata hai yeh chand muharram ka

Noha Sughra (sa) ko rulata hai yeh chand muharram ka Jab samne aata hai yeh chand muharram ka Hum surat e Zahra (sa) se bhai kay bichadne ki Khatoon e qayamat kay ghar baar ujadne ki Rudad sunata hai, yeh chand muharram ka Kata hai gala logo sah roz kay pyase ko Pamaal hua lasha Ahmad (s.a.w.w) kay nawase ka Har ik ko batata hai, yeh chand muharram ka Tasveer dikhata hai Ahmad (s.a.w.w) ki jawani ki Har shaks ko duniya main karbal ki kahani ki Tafseer batata hai, yeh chand muharram ka Karbal ki zeyarat ko jo aankh tarasti thi Shabbeer (as) tere gham main jo aankh barasti thi Us aankh ko bhata hai, yeh chand muharram ka Imran (as) ko Shabbar (as) ko khatoon e qayamat ko Haider (as) ki qasam MAZHAR Sarkar e Risalat ko Turbat main rulata hai, yeh chand muharram ka ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Aye chand karbala kay, tu ne to dekhe hongay

Salam Aye chand karbala kay, tu ne to dekhe hongay Utray thay is zameen par, arshay bari’n kay taare Aye chand jalwagar hai hashim ka chand yan par khairaat raoshani ki le lijiyo yahan se Aye chand........................................... Aye chand is zameen par rakhiyo hamesha thandak Sotay jo hain yahan par Zehra (sa) ke hain yeh pyare Aye chand....................................................... Tasleem-o-salsabeelo kausar ke hain ye maalik Maare gaye jo pyase is nehr ke kanare Aye chand............................................. Hur aur habeeb jaise jaanbaaz aur ahibba Maare gaye yaheen par ansaar shahe deen ke Aye chand........................................................... Maare gaye yaheen par be-dardiyo sitam se Muslim (as) ke dono pyare Zainab (sa) ke dono bete Aye chand.......................................................... Pamaal ho rahi thi Qasim (as) ki laash ran may Abbas (as)aur sarwar chunte thay unke tukday Aye c...

Chand Sughra (sa) ko muharram ka nazar aaya hai

Salam Haye Sughra (sa) Haye Sughra (sa)  Chand Sughra (sa) ko muharram ka nazar aaya hai Yaad kunb e ka madine se safar aaya hai  Dekh kar chand ko Sughra (sa) yeh bayan karti thi Mere baba ko to karbal ka safar bhaya hai Ab na Qasim (as) hain na Akbar (as) mere ghar ki raunaq Mere is ghar peh udasi ka faqat saya hai Baba tanhai main Sughra (sa) ko kiya aur mareez Teri beti ne teri dard e jigar paya hai Bhaiyya furqat main teri mujh ko bhala chain kahan Teri bahna ne judai ka zaher paya hai Kaise Sughra (sa) ko batayega koi yeh SHOHRAT Mere Akbar (as) ne shahadat ka gohar paya hai ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Noha Imam Ali (as) | Shab chaak gareban saher girya kuna hai |

                            Noha Shab chaak gareban saher girya kuna hai Makhlooq e khuda maile faryaad o fugha’n hai Ma bain zamee'n aasma'n mashahar ka sama'n hai 19wi ramdan ka yeh haal bayan hai Tareekh yeh woh hai jo qayamat se nahi kam Aye momino sar peeto karo girya o matam  Farigh jo tahajjud se huway fatahe khaibar Aur sahen main aaye junhi hujre se nikal kar   Bas qazd kiya he tha abhi jane ka bahar Hota ki ada fajr ka woh farz e muqarrar Murgabiyon ne ghair liya haq kay wali ko Darwaze se jane nahi deti thin Ali (as) ko Goya huwya murghabiyon se Haider e (as) karrar Is uns ki de tum ko jaza khaliq e ghaffar Nale na karo sabr karo aye meri gham khar Jo waqt moayyan hai woh talta nahi zin haal Daman ko mere chod do youn ashk na barsao Masjid main mujhe jane do darwaze se hat jao Pahunche jo hin masjid main Ali (as) dekha yeh manzar Undha pada sota hai...

Salam Imam Ali (as) | Chal Gai Taigh Haider (as) Kay Sar Par |

                        Salam Chal gai taigh Haideri (as) kay sar par  Roza daro'n main matam bapa hai  Aaj jate hain duniya se Haider (as)  Roza daro'n main matam bapa hai Aaj kufe main hai aah o zari  Matami hai Ali (as) ki dulari  Aaj rote hain Shabber (as) o Shabbar (as) Roza daro'n main matam bapa hai Betiya'n ro rahi hain Ali (as) ki  Haye aai qayamat yeh kaisi  Ab nahi baap ka saya sar par  Roza daro'n main matam bapa hai Yeh namaz o Aza'n ro rahe hain  Gham main dono jahan ro rahe hain  khoo'n main doobe hain mahrab o mimber  Roza daro'n main matam bapa hai Khoon bahta hai Haider (as) kay sar se  Aaj uththe ga taboot ghar se  Aaj badla hai kaisa muqaddar  Roza daro'n main matam bapa hai Hai ZAFAR yeh Ali (as) ka janaza  Dil peh Zainab (sa) kay hai zakhm taza  Kah rahe hain azadar ro kar ...

Salam Imam Ali (as) | Kufa Ujad Gaya |

                  Salam Haye wa museebata kufa ujad gaya Zakhmi huway Ali (as) hai shor ja baja Haye wa museebata kufa ujad gaya Zahra (sa) kay ghar main kaisi qayamat guzar gai Zainab (sa) ne jab suna to woh ghash kha kay gir gai Baba kay gham se ho gaye be haal Mujtaba (as) Haye wa museebata fufa ujad gaya Roze main rozedaar ko mara namaz main Jibreeal (as) dekh kar yeh pukara namaz main Kabe ka kaba dha diya kaisa sitam kiya Haye wa museebata fufa ujad gaya Jarrah sar ko peet kay bola yeh bar mala Sar se lahu Imam (as) kay rukta nahi bhala Muljim peh beshumar ki jisne hai ki jafa Haye wa museebata fufa ujad gaya Kaise sabhale dekhiye Shabbeer (as) ko Hasan (as) Kaise sabhale dekhiye humsheer ko Hasan (as) Ya rab Ali (as) ka lal Hasan (as) kya kare bhala Haye wa museebata fufa ujad gaya Abbas e (as) ba wafa ko qarar aaye kis tarah Haye lahed main roti hain is gham main Fatima (sa) Bab...

Ki Zaujaye Muslim (as) Ne Yeh Fogha’n Hain Mere Dono Lal Kahan

Noha Ki zaujaye Muslim (as) ne yeh fogha’n Hain mere dono lal kahan Thay sath jo mere do dilbar Woh fidya kiye main ne haq par Jo sath tumhare thay hain kahan Hain mere dono lal kahan Main basti basti jaungi Aur dhoodh kay unko laungi Batlaiye kuch to unka nishan Hain mere dono lal kahan Kab tak woh rahe zeer e saya Aur kis ko taras un par aaya Kis ghar main hain ab tak woh mehmaa’n Hain mere dono lal kahan Bus itna bata dije wali Duniya to nahi unse khali Kya mil gai unko jaye aman Hain mere dono lal kahan Di lashe Muslim (as) ne yeh sada De sabr ki taqat tujh ko khuda Ho jaye ga tujh par jald ayan Hai mere dono lal kahan Kufe main ANEES e Ahle haram Thay nala kuna waqt e matam Sun kar yeh sada mahshar tha ayan Hain mere dono lal kahan ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri                    India 

Salam Imam Ali Raza (as) | Aye ghareebul watan ya imam e Raza (as) |

Salam Aye ghareebul watan ya imam e Raza (as)  Waris e bekafan ya imam e Raza (as) Hai sitam zahr ka dono sah kar gaye Bin yaqeen ladle dono Zahra (sa) kay thay  Ik imam e Hasan (as) ya imam e Raza (as) Shahe karbobala se yeh nisbat teri Un kay lashe peh bhi tere lashe peh bhi Ro na pai bahen ya imam e Raza (as) Tere baba ka taboot uth na saka Pul peh baghdad kay lasha rakha raha Tha kafan pairahan ya imam e Raza (as) Jo chubhan tere seene main thi zahr ki Ab bhi mahsoos karte hain woh matmi Apne dil main chubhan ya imam e Raza (as) Aye bin e sayyada aye bin e murtaza Mushkilon main hamen hai tera aasra Badshah e zaman ya imam e Raza (as) Haq kay ajdad ko tujh se cheena gaya Hai madine tera tujh se chudwa diya Aye aseer e mehan ya imam e Raza (as) Janyen salman o meesam khorasan main Tere rauz e peh ja kar yeh nauha padhen De do izn e sukhan ya imam e Raza (as) ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search Zeya Jalalpuri

Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra (sa) ya Ali (as)

Salam Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra (sa) ya Ali (as) Kya kahun dil main khayal aate hain kya kya ya Ali (as) Han madine walon ko tha mera rona na gawar Aaj se hoga na in logon ko shikwa ya Ali (as) Dushmano ko tum ne aane dena meri lash par Pardaye shab main meri mayyat uthana ya Ali (as) Baad mere jane kya ho haal bachchon ka mere In ko eaza ho to hogi mujh ko eaza ya Ali (as) Faqe kar kay aafaton se main ne pala hai inhen Tum khayal inka meri khatir se rakhna ya Ali (as) Jante hain aap yeh nazon ka pala hai Hussain (as) Woh agar roye dilasa usko dena ya Ali (as) Tum ko zahmat ho gi lekin meri taskee’n kay liye Meri turbat par mere bachchon ko lana ya Ali (as) Rah gaye apna kaleja tham kar maula SAEED Boli Zahra (sa) jab khuda hafiz tumhara ya Ali (as) ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Aasman larza zamee kanpi samandar roye

Salam Aasman larza zamee kanpi samandar roye Qabr main maa kay liye jab Ali Asghar (as) roye Nazza main yaad jo beemar e madina aai Hichkiyan badh gai is tarah se Akbar (as) roye Tanha roti thi 72 ko Ali (as) ki beti Be rida jab hui Zainab (sa) to 72 roye Waqt e rukhsat jo Hussain (as) aaye dar e khaima par Shah Zainab (sa) se bahut dair lipat kar roye Zibh hote huway sub dekh rahi thin bahne Yeh sama dekh kay maula tah e khanjar roye Shim ka khauf hai gardan main rasan bhi hai bandhi Apne baba ko Sakina (sa) kahan ja kar roye Aise roya na kisi baap ko beta koi Jaise 40 bars Abid e (as) muztar roye Sun kay aye MIR TAKALLUM tera majlis main salam Fatima (sa) royi Ali (as) roye Payamber roye ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri                   India

Jati hai Zainab (sa) aaj watan main | Anjuman Jafaria Rajisterd Mustafabad Jalalpur |

Noha Le kay 72 daag jigar par Jati hai Zainab (sa) aaj watan main Aai khezan barbad huway ghul Mil gaye ghunche khak chaman main Mujh ko nahi manzoor judai Haif bahen ko maut na aai Rahti tumhare sath aye bhaiyya Main bhi is tapte huway ban main Le kay…….........………………………… Ghash main pada beemar e hazeen tha Jism main itna khoon nahi tha Youn thi tan e Abid (as) peh safedi Jaise koi lipta ho kafan main Le kay………………......……………… Ta dam e aakhir munh nahi moda Jisne tumhara sath na choda Ab woh bahen jati hai madina Chod kay tum ko gair watan main Le kay……………………...........…......... Lash teri muhtaaj e kafan thi Haye sitam majboor bahen thi Kis tarah karti dafn ka saman Hath bandhe thay mere rasan main Le kay………………………................. Kya kahun bhaiyya qait ki sakhti Faqon se halat yahan tak pahunchi Baith kay main pardhti thi namazen Itni nahi taqat thi badan main Le kay………………………………….... Kaise kahungi qabr e Hasan (as) par Mar gaya Qasim (as)...

Chut kay zindan se wapas madina, milne Sughra (sa) se aai hai Zainab(sa)

Noha Chut kay zindan se wapas madina, milne Sughra (sa) se aai hai Zainab(sa) Aik he dil peh Zahra (sa) ki beti daag 18 lai hai Zainab(sa) Tujh se milne ko aai hai Sughra (sa), haye Zainab (sa) peh woh waqt hai Haye pahchan pai na Sughra (sa), r okay tab 1 bibi se pucha  Kya yahi qafela woh hai jis main sath Zahra(sa) ki jai hai Zainab(sa) Chut……………………………………………………………………….. Jab ki pahchana Zainab (sa) phuphi ko, puchti hai chacha aur akhi ko Phir kaha aye phuphi yeh bata do, mere baba kahan hai dekha do Boli Zainab(sa) ki aye beti Sughra, kho kay bhaiyya ko aai hai Zainab(sa) Chut………………………………………………………………………….. Jab madine se Zainab (sa) chali thi, tere baba thay hamrah beti Aaj phir jab madina hun lauti,sirf hai ik nishani akhi ki Khoon bhara apne bhaiyya ka kurta,chaak teron se lai hai Zainab (sa) Chut……………………………………………………………………….. Puchti hai chacha ko mareeza, sath main kyon nahi aaya bhaiyya Boli Zainab (sa) ki aye meri dukhiya, ho gaye qatl woh...

Salam Imam Hasan (as) Paikan baras rahe hain taboot par Hasan (as) kay

Salam Paikan baras rahe hain taboot par Hasan (as) kay Ummat mita rahi hai aasar Panjatan (as) kay Zainab (sa) pukari bhai dil doobta hai mera Uglo na dil kay tukde sadqe gai dahen kay Zainab (sa) hain baal khole ummat hain teer tole Pucho na sham ki jab yeh haal hain watan kay Baba kay dil kay tukde tu ne gine 72 Tukde hazar hongay Qasim (as) tere badan kay Taboot se lipat kar Qasim (as) pukare baba Nauhe akhi kay dekho dukhde suno bahen kay Yasrab main karbala main baghdad samra main Afsos phool bikhre Zahra (sa) tere chaman kay ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri India

Salam BiBi Zainab (sa) | Ghabrayegi Zainab (sa) sharmayegi Zainab (sa) |

Salam Ghabrayegi Zainab (sa) sharmayegi Zainab (sa) Kho kar tumhen kis munh se watan jayegi Zainab (sa) Bhaiyya hai mujhe yaad teri chand si surat Ab thokaren kha kar bhi kahan jayegi Zainab (sa) Ghairat ka taqaza thi ki jati na watan ko Marzi hai tumhari to chali jayegi Zainab (sa) Akbar (as) ki phuphi hun mujhe ghairat hai watan main Jo neel hain shano peh na dikhlayegi Zainab (sa) Puchengay Sakina (sa) ko jo atfaal e madinah Batlaiye kya lab peh sukhan layegi Zainab (sa) Hai sath bahen bhai ka ta hashr aye YAWAR Jab zikr e Hussain (as) aayega yaad aayegi Zainab (sa) Poet: Janab Yawar Sahab ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri India

Boli Zainab (sa) apni khahar yeh umme kulsoom (sa) se

Noha Boli Zainab (sa) apni khahar yeh umme kulsoom (sa) se Karbobala  jab hua Ahle haram ka guzar Kohe musibat gira bibiyon peh toot kar Zainab e (sa) nashad ne peet liya apna sar Ro ro yeh kahne lagi maanjaye ki qabr par Aye bhiayya........... kis tarah ahle madina ko main munh dikhlaungi Sham kay zindan se main aai hun Choot kay.............. Kis tarah sote ho tum chod kay apna watan Kis tarah bhai tumhen bha gaya sunsaan ban Ghar chalo lene ko ab aai hai dukhiya bahen Sunti hun haye haye ghazab paya na tum ne kafan Maanjaye............lash thi uryaan teri jalti hui rait par Dekhne aur tum se milne aai hun Choot kay............... Rauza payamber ka jab door se aaya nazar Hazrat e kulsoom (sa) ne peet liya apna sar Ro ro madina se yeh kahne lagi nauha gar Aai hun tera sharaf karbobala chood kar Such kahun........aye mere jadd kay madina hum tere qabil nahi Tujh main to aate huway sharmati hun Choot kay........... Shah e do aalam nahi...

Qabr peh bhai kay kahti thi yeh ro kar Zainab sa | 20 Safar Salam |

Salam Qabr peh bhai kay kahti thi yeh ro kar Zainab sa Aai hai sham kay zindan se chut kar Zainab sa Bekafan lash padi thi tumhari maidan main Yeh na samjho ki bahen bhool gai zindan main Roti rahti thi isi yaad main muztar Zainab sa Aap kay baad bade zulmo sitam hum peh huway Maalo asbab lutay khaime jale qaid huway Karbala se gai ta sham khule sar Zainab sa Mera beemar agar goaf se ruk jata kahin Pusht e beemar main naizon ko chubhate thay laeen Bhaiyya rah jati thi us waqt tadap kar Zainab sa 1 choti si rasan main thay bandhe sub qaidi Sath he sath main gardan thi bandhi bachchi ki Har qadam khati thi taqdeer ki thokar Zainab sa Kya sunaun dil e muztar ka fasana bhaiyya Chil gaya sakht rasan se mera shana bhaiyya Is tarah bandhi thi rassi se jakad kar Zainab sa Karti thi kham to sokoon pate thay bachche mere Seedhi hone se gale bachchon kay kas jate thay Is liye chalti thi bazaar main jhuk kar Zainab sa ............Zeya Abbas (...

Jab chut kay aaye run main aseeran e karbala

Noha Jab chut kay aaye run main aseeran e karbala Bhai ki qabr tham kay Zainab (sa) ne yeh kaha Aankhe zameen dekhati hai dushman hai aasman Bhiayya jawab dijiye jaye bahen kahan Ahle jafa ne aag lagai khayam main Kar kay aseer le gaye darbar e sham main Zindan main hum peh toot pada gham ka aasman Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan Bhaiyya tumhen Sakina (sa) bahut yaad karti thi Sar peetti thi aur kabhi aah bharti thi Nanhi si jaan roti thi le le kay hichkiyan Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan Bandhi thi itna kas kay sitamgaar ne rasan Mushkil se sans leti thi khud se woh pur mehan Marne peh kholne se na khulti thi resman Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan Abid (as) bahen ki lash ko jab le kay jate thay Aalam yeh zoaf ka tha ki khud dagmagate thay Har gaam peh ulajhti thi paon ki bediyan Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan Sughra (sa) ko kis tarah yeh fasana sunaungi Beemar gham kay samne kis munh se jaungi Kyon ka...

Qaid e sitam se Zainab e (sa) dilgeer aai hai

Qaid e sitam se Zainab e (sa) dilgeer aai hai Qabr e Hussain (as) per safe matam bichai hai Pyase huway ho samne aankhon kay tum meri Pee lo bahen forat se pani bhi lai hai Bhaiyya zameen garm thi tapti na ho lahed Pani pilane qabr par hamsheer aai hai Baad aap kay bandhi mere hathon main youn rasan Bhaiyya hamari dekh lo sooji kalai hai Bhaiyya Sakina (sa) rah gai zindan e sham main Abid (as) ne jiski hathon se turbat banai hai Uthti na thi mareez se pyasi bahen ki lash Mushkil se kanpte huway mayyat uthai hai Abbas o (as) Qasim o (as) Ali Akbar (as) ko lo bulaye Jati hun ab madine ko hoti judai hai Aai sada yeh qabr se mazloom ki SAGHEER Jao bahen ki maut se majboor bhai hai ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search Zeya Jalalpuri India

Salam BiBi Sakina (sa) | Pukari ro kay Sakina (sa) bada andhera hai

Salam Pukari ro kay Sakina (sa), bada andhera hai Yeh kaisi qaid hai baba, bada andhera hai Main aik kone main baithi hui hun sahmi hui Dekhai kuch nahi deta, bada andhera hai Tamanche lagte hain mere jo dar kay roti hun Magar main kya karun baba, bada andhera hai Agar ho aana to Asghar (as) ko sath mat lana Jahan main qaid hun baba, bada andhera hai Bahen se milne ko aao kabhi Ali Akbar (as) To ik cherag bhi lana, bada andhera hai Bahut tadapte thay Sajjad (as) yeh sada sun kar Bahen bulati hai bhaiyya, bada andhera hai Koi cherag jalane na aa saka haye Pukarti rahi dukhiya, bada andhera hai ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri India

Salam BiBi Sakina (sa) | Sakina (sa) So Rahi Hai |

Sunai kis ne yeh zindan main lori Sakina (sa) so rahi hai Khudara zor se bole na koi Sakina (sa) so rahi hai Kaha bano ne uththo shahzadi Hui kya baat jo mather se roothi Utho baba ka sar aaya hai bibi x2 Dar e zindan se awaaz aai Sakina (sa) so rahi hai Tumhare goshware mil rahe hain Dar e zindan sare khul rahe hain Rahai mil gai jati hun ghar ko x2 Magar Sajjad (as) ki awaaz aai Sakina (sa) so rahi hai Na mere ga koi tum ko tamanche Na honagy phir kabhi rukhsar neele Gala bandha na jayega rasan main x2 Jo aaya shimr to usse kahungi Sakina (sa) so rahi hai Huway jab sham kay saye bhi gahre Parinde chah chaha kay ja rahe thay Kaha bano ne aye udte parindo x2 Sadayen rok lo kuch dair apni Sakina (sa) so rahi hai Banane qabr jab Sajjad (as) utthe To woh nad e Ali duhra rahe thay Bandhe hathon se chaha qabr khoden Achanak paon ki zanjeer khanki Sakina (sa) so rahi hai ............Zeya Abbas (Haideri)........... YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Salam BiBi Sakina (sa) || Sakina (sa) boli phuphi se basad fughan kahna ||

Salam Sakina (sa) boli phuphi se basad fughan kahna Mere chacha se mere gham ki dastan kahna Goluway khushk peh baba kay jab chala khanjar Main dekhti thi khadi suway aasman kahna Labon se pyas kay shole nikalte dekhe hain Jale khayam ka aankhon main hai dhuwan kahna Salam e aakhri ammu mera qabool karen Main ja rahi hun qafs se suway jina kahna Wazu main karti hun ashkon se yaad e Akbar (as) main Main qaid khane main sunti hun jab azan kahna Lahu tapakta tha kano se phat gai thi lawen Tamanche maar kay cheeni jo baliyan kahna ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Abbas (as) Dekho Sham Ka Darbar Aagaya || Anjuman Jafaria Rajisterd.Mustafabad Jalalpur ||

NOHA Pahuncha hai sham main jo aseeron ka qafela Darbar main jo hone laga un ka dakhela Ghazi kay sar ko dekh kay Zainab (sa) ne yeh kaha Abbas as dekho sham ka darbar aagaya Ghazi kay................................................... Abbas (as).................................................. Aye mere sher yaad hai Zainab (sa) ko aaj bhi Maa ka janaza raat main utha tha aye akhi Us maa ki beti lai gai hai yeh be rida Abbas (as) dekho sham ka darbar aagaya Ghazi kay...................................................... Abbas (as)..................................................... Darbar ki jo hoti hai aaina bandiyan Ab hongi pesh be kaso majboor bibiyan In qaidiyon ka sharm se hai sar jhuka hua Abbas (as) dekho sham ka darbar aagaya Ghazi kay..................................................... Abbas (as).................................................... Bhaiyya jahan main aagaya hai kaisa inqelab Sar nange jis ko dekh saka tha na ...

Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)

Noha Awaaz hai yeh dasht main roohe Batool (sa) ki Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Kal uske sookhe halq peh chal jayegi churi Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Aye kash hoti zinda jahan main yeh gham zada Kar deti apne aap ko is laal par fida Afsos mil na pai mujhe itni zindagi Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Beti lahed ko chod kay aai hun isliye Ik raat aur jeete huway dekh lun ise Us bewatan ki baqi hai thodi si zindagi Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Karbobala ki banna hai kal tujh ko Fatima (sa) Sookhe huway gale ko hai phir uske choomna Yeh zimmedari saunpti hai tujh ko maa teri Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Nanhi si lash khode ga woh zulfeqaar se Farigh jo hoga nanhi s...

Sajjad (as) Main Zainab (sa) Hun

Noha Sajjad (as) main Zainab (sa) hun mere sar peh rida koi nahi bazaar e jafa  Majma hai laeeno ka mere chalne ki jaa koi nahi bazaar e jafa Sajjad (as) mere sar se cheeni gai jab chadar Baluway main nabi zadi phirwai gai dar dar Mil jaye mujhe chadar aur meri dua koi nahi bazaar e jafa Sajjad (as) main Zainab (sa) hun Sajjad (as) chalun kaise lakhon hain tamashai Yaad aata hai rah rah kay Abbas (as) mera bhai Fariyad karun kisse ab tere siwa koi nahi bazaar e jafa Sajjad (as) main Zainab (sa) hun Sajjad (as) mere dil ko yeh dard satata hai Sar Ghazi (as) kay naize se jab khak peh aata hai Sar mera khule dekhe gham isse bada koi nahi bazaar e jafa Sajjad (as) main Zainab (sa) hun Sajjad (as) teri halat dekhi nahi jati hai Be parda mujhe dekhe yeh baat rulati hai Sajjad (as) teri tarah kanton peh chala koi nahi bazaar e jafa Sajjad (as) main Zainab (sa) hun Maut aayegi zindan main meri bali Sakina (sa) ko Kya ja kay bat...

Maa jaye kay marne ki sunte he khabar Zainab (sa)

Noha Maa jaye kay marne ki sunte he khabar Zainab (sa) Maqtal main chali aai khole huway sar Zainab (sa) Lash e se lipat kar youn ro ro kay lagi kahne Ab jaye kahan bhiayya, yeh tashna jigar Zainab (sa) Bhai ki waseeyat thi jab qatl main ho jaun Rakhna mere bachchon par, har waqt nazar Zainab (sa) Gham main Ali Akbar (as) kay itna bhi na yaad aaya Chod aai main maqtal main , do lakht e jigar Zainab (sa) Abbas (as) zara uth kar aajao tarai se Nargha hai laeeno ka, aur hai khule sar Zainab (sa) Maa jaye kay lash e par le ja kay udha deti Chadar na tere sar se, chin jati agar Zainab (sa) Woh aag shole aur woh khaimon ki taraji In aankhon se dekhe thay, jalte huway ghar Zainab (sa) ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri India https://www.youtube.com/watch?v=k0tU9auQAfE

Salam Hazrat Ali Akbar (as) haye Akbar (as) ka dam ukhadta hai

Salam Haye Akbar (as) ka dam ukhadta hai Naujawani ka bagh ujadta hai Baap kay samne jawab beta Khak par aidiyan ragadta hai Marg e Akbar (as) se badh kay yeh gham hai Hum shabeeh e Nabi (s.a.w.w) bichdta hai Shimr nazuk gala Sakina (sa) ka Kas kay rassi main kyon jakadta hai Ro kay Zainab (sa) ne kaha Abid (as) se Haye Laila ka ghar ujadta hai ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Ali (as) Ki ladki ghabra rahi hai

(Salam & Nauha) Ali (as) ki ladli ghabra rahi hai Shabe aashur dhalti ja rahi hai Zameen chup hain falak sahma hua hai Dil e Zainab (sa) paresha'n ho raha hai Ghata zulmo sitam ki cha rahi hai Shab e ........................................ Qaza ki zad peh Zahra (sa) ka chaman hai Hussaini qafela tashna dahen hai Lahu chashm e falak barsa rahi hai Shab e .......................................... Jidhar dekho nazar aata hai lashkar Ajab pur hole hai sahra ka manzar Yazeedi fauj simti aarahi hai Shab e.................................... Kabhi Aoun o Muhammad (as) ko bulaya Kabhi seene se Akbar (as) ko lagaya Kabhi Abbas (as) ko samjha rahi hai Shab e ...................................... Shah e wala ko khaime main bula kara Bahen kahne lagi aansu bahakar Hamen surat ajal dikhla rahi hai Shab e .......................................... Rasool e paak ki masnad bicha kar Ali Akbar (as) ko pahlu main bitha kar Sukoon e qalb Zainab (sa) pa rahi...

Bain karti thi ro ro kay laila tujh ko rukhsat karun kaise Akbar (as)

Bain karti thi ro ro kay laila,tujh ko rukhsat karun kaise Akbar (as) Saal Aththarawa,n hai yeh beta daagh tera sahun kaise Akbar (as) Beta kadyal jawani hai teri,aur tere pidar ki zaeefi Haye kyon kar uthe gay eh lasha,jao marne kahun kaise Akbar (as) Jab bhi khaime se chaha nikalna, bibiyon ne hai bazu ko thama Aur ro ro kay har ik ne pucha, Sabr tujh ko karun kaise Akbar (as) Han magar ik bahen dukh satai, jo ki bazu nahi tham pai Kahte hain jisko nanhi Sakina (sa), boli gham yeh sahun kaise Akbar (as) Jab na bazu pakad pai dukhiya, badh kay daman se lipti Sakina (sa) Pucha ro ro kay bhaiyya yeh daman, hathon se chod dun kaise Akbar (as) Thi Tamnna ki shadi jo hogi, main lagaungi hathon main mehdi Bhej kar tujh ko maqtal main bhai, sabr aakhir karun kaise Akbar (as) Main dua mangti thi baraber, jald woh din dikhaye muqaddar Apne hathon se bandhungi sehra, gham yeh dil par sahun kaise Akbar (as) Phir yeh pucha ki aye mere dilbar, haal Sughra (sa) ka dekho gay Akbar (...