Ki Zaujaye Muslim (as) Ne Yeh Fogha’n Hain Mere Dono Lal Kahan

Noha
Ki zaujaye Muslim (as) ne yeh fogha’n Hain mere dono lal kahan Thay sath jo mere do dilbar Woh fidya kiye main ne haq par Jo sath tumhare thay hain kahan Hain mere dono lal kahan Main basti basti jaungi Aur dhoodh kay unko laungi Batlaiye kuch to unka nishan Hain mere dono lal kahan Kab tak woh rahe zeer e saya Aur kis ko taras un par aaya Kis ghar main hain ab tak woh mehmaa’n Hain mere dono lal kahan Bus itna bata dije wali Duniya to nahi unse khali Kya mil gai unko jaye aman Hain mere dono lal kahan Di lashe Muslim (as) ne yeh sada De sabr ki taqat tujh ko khuda Ho jaye ga tujh par jald ayan Hai mere dono lal kahan Kufe main ANEES e Ahle haram Thay nala kuna waqt e matam Sun kar yeh sada mahshar tha ayan Hain mere dono lal kahan

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                   India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida