Posts

Showing posts from March, 2018

Ja rahe hain watan aye Sakina (sa) chalo

ja rahe hain  watan aye Sakina (sa) chalo  bint e shah e zaman aye Sakina (sa) chalo phoot ti he rahi aas beti teri  bujh na pai kabhi pyas beti teri  meri tashna dahan (2) aye Sakina (sa) chalo beti aayega ab na satane koi  ab na barsaye ga taziyane koi  meri majrooh o tan |(2) aye Sakina (sa) chalo aa ja aye ladli need se hosh main  le sakungi tujhe ab main aagosh main  khul gai hai rasan (2) aye Sakina (sa) chalo jab woh puche gi to kya batayegi maa  ghar ki dahleez par muntazir meri jaan  hogi Sughra (sa) bahen (2)  aye Sakina (sa) chalo dil ko chain aaya hai kab tumhare bagair  kaise jaun watan ab tumhare bagair  meri jaan e chaman (2) aye Sakina (sa) chalo ..............Zeya (Haideri).............

Nauha BiBi Sakina (sa) | Sun lo apni beti kay aakhri bayan baba

Sun lo apni beti kay aakhri baya’n baba Band hone wali hai ab meri zaba’n baba Qaid kay andhero’n main ghut raha hai dam mera Ab sahee nahi jati mujh se sakhtiya’n baba Jab mera jawan bhaiyya aidiyan ragadta tha Chubh rahi thin mere bhi dil main barchiya’n baba Jism kanp uthta hai rooh thar tharati hai Shimr hum ko deta hai aisi ghurkiya’n baba Jab gale lagaya tha tum ne hum ko maqtal main Aaj tak rulata hai haye woh sama’n baba Kaan ho gaye zakhmi gaal ho gaye neele Zalimo’n ne youn cheeni meri baliya’n baba Yeh khabar nahi mujh ko kab jala mera daman Door tak tha aankhon kay samne dhuwa’n baba Yeh NAZEER apna hai usko bakhshwa dena Usne ro kay likhkhi hai meri dasta’n baba ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Din dhale jab kar kay mazdoori Raza aata hai baap

Din dhale jab karke mazdoori  RAZA  aata hai Baap Dekhker haste hue bacchon ko sukh pata hai Baap Aik bachche ki talab main chod kar aaramo chain Jane kis kis dar peh mannat mangne jata hai Baap Samne ankhon kay jis bete ke mar jata hai Baap Lamha lamha zindagi bhar usko yaad aata hai Baap Jane kitne khowab karte hain safar bachhe kay sath Ghar se pehli baar jab school le jaata hai Baap Umr bhar rahti hai us bete ke dil mein ek khalish Jab taraqqi dekhne se pehle mer jaata hai Baap Jab numaya Qamyabi choome bete kay qadam Nazr dilwati hai maa sajde mein gir jata hai Baap Zindagi bhar chalta rehta hai masheeno ki tarah Maut ki godi mein ek din thak kay so jata hai Baap Rote rote bus yahi kehta hai wo haye Husain (as) Jab kabhi apne jawan bete ko dafnata hai Baap Koi un bachhon se pooche kya hai shadi ka maza Biyah ki taarikh rakhker jinki mar jaata hai Baap Roz-e-aashura bana deti hai maa saqqa humein aik chota sa uthan...

Abbas (as) Kahan Ho

(Salam)  Kehtay Thay Shah-e-Deen Mere, Abbas Kahan Ho Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho Tanha Hoon Khada Dasht-e-Bala Main Baradar Dekho Zara Aakar (x2) Pala Tha Jinhay Nazon Say, Sotay Hain Kahan Wo Abbas Kahan Ho (x2) Dikhta Nahi Ab Ankhon Say, Har Su Hai Andhera Dam Rukta Hai Mera (x2) Deta Hai Sadain Ali Akbar Mera Mujhko Abbas Kahan Ho (x2) Seenay Main Jawan Laal Kay, Barchi Ki Aani Hay Tharrati Zameen Hai (x2) Uljha Hua Barchi Main Na Akbar Ka Jigar Ho Abbas Kahan Ho (x2) Seenay Say Sina Khainch Kay, Akbar Kay Sarhanay Is Dasht-e-Bala Main (x2) TakTa Hoon Basad Yaad Say Dum Todtay Usko Abbas Kahan Ho (x2) Haathon Pay Ugalta Hai, Lahoo Asghar-e-Baysheer Gardan Pay Laga Teer (x2) Kiya Keh Kay Tassalli Doon main Dar Pay Khadi Maa Ko Abbas Kahan Ho (x2) Nanni Si Lehad Main Ali Asghar Ko Lita Kar Mitti Pay Sula Kar (x2) UthTa Hoon Kabhi GirTa Hoon Thamay Hue Dil Ko Abbas Kahan Ho (x2) Jaata Hoon Rah-e-Haq Main Gala Apna Katanay Khal...

Sakhi Abbas (as) tu kitna naseeb wala hai

Sakhi Abbas (as) tu kitna naseeb wala hai Tujhe Hussain (as) ki bahno ne mil kay pala hai Ali (as) ka beta hai mushkil kusha to tu bhi hai Tu he to dil ki muradon ka sunne wala hai Main apni koi museebat Ali (as) se kahta nahi Ki mere ranjo masayel ko tu ne tala hai Badi ajeeb hai nisbat khuda kay ghar se teri Ghilaf kabe ka kala alam bhi kala hai Hain tere dar kay gadagar yeh sare nauha khan Hamare namo’n nasab ka yahi hawala hai Woh tujh se kaise muhabbat karen Mere Ghazi (as)  Woh munkiron main se hain jin kay dil peh tala hai  Main mushkilon main ghira tha Aye Hazrat e Abbas as  Bhanwar se tu ne safeena mera nikala hai  Salam karte hain Ghazi as tumhari azmat par  Khuda ne bakhsha tujhe sharf kaisa aala hai  ............Zeya Abbas (Haideri)............ Youtube Search On Zeya Jalalpuri

Is qaum kay rone ko yahi baat badi hai

                      (Salam) Is qaum kay rone ko yahi baat badi hai  Zahra (sa) bhare darbar main haq maang rahi hai  Kahte thay payamber woh jise bizato minni  Dar jis ka jalaya gaya Zahra (sa) yeh wahi hai  Hansta tha sanad phad kay darbar main zalim  Thi jab ki khabar kis ne yeh tahreer likhi hai  Haq se kiya mahroom sitam dekhiye us par  Zahra (sa) bhare darbar main jhutlai gai hai  Darwada jalaya hui Mohsin (as) ki shahadat  Sar peeto sabhi aaj qayamat ki ghadi hai  Zahra (sa) ki shahadat ki hai shab isliye logo  Is gham kay sabab nauha kuna rooh e Nabi hai  Rota hai falak roye zamee'n Zahra (sa) kay gham main  Har simt fiza sog main dekho to jabhi hai  KAMI tera nauha jo ZEYA ne yeh padha hai  Nauhe ki teri shayri purdard badi hai ..............Zeya (Haideri).............. YouTube Search On Zeya Jalalpur...

Manqabat Bibi Fatima Zahra (sa) ( 11 Masoomon Ki Maa'n Hain Fatima (sa) )

            (Manqabat)   Jurato'n ka aasma'n hain Fatima (sa) Zainab e (sa) kubra ki maa’n hain Fatima (sa) Wajh e takhleeq e jahan hain Fatima (sa) 11 masoomo'n ki maa’n hain Fatima (sa) Jis main hai masoom taro'n ki Zeya Noor ki woh kahkasha'n hain Fatima (sa) Dekhne wali nigahe'n chahiye Har zamee'n ka aasma'n hain Fatima (sa) Kyon na tafseer e salami den inhen Aayato'n ki hum zaba'n hain Fatima (sa) Khush na hona cheen kar baagh e fidak Malkaye baagh e jena'n hain Fatima (sa) Ruk nahi sakti azadari kabhi Majliso'n ki pasba’n hain Fatima (sa) Dhoondhte kya ho jamal wali kay pass Haq wahan par hai jaha'n hain Fatima (sa) Hashr main pucha gaya jab koi hai Kah diya main ne ki han hain Fatima (sa) Tum bata do usko majlis ka pata Gar koi puche kahan hain Fatima (sa) Hum Ali (as) walon ko is peh naaz hai Nazishe kauno maka'n hain Fatima (sa) Sher kuch ho he gaye tujh se SALEEM Iska matlab meharba'n hain Fatima (sa) Poet: Jan...

Baap ka martaba ( Mohtaram hota hai kuch itna sahara baap ka )

Mohtaram hota hai kuch itna sahara baap ka Misl e rahmat hai bashar kay haq main saya baap ka Maa ki azmat to siwa hai jante hain sub magar Haq ada kar he nahi sakta hai beta baap ka Baap se kis darja bete ka bichadna hai sitam  Puchiye Sajjad (as) se maqtal main jana baap ka Samne kursi nashee’n zalim kay roti rah gai Dekh kar tasht e tila main sar Sakina (sa) baap ka Phir se Zainab (sa) kay liye har gham hara ho jayega Puchne ko haal jab aayegi Sughra (sa) baap ka aye madawaye gham e duniya gham e karbobala                                                                  warna MAYEL kaun sah sakta hai sadma baap ka   ........

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Ghame Batool (sa) manana bahut zaruri hai

Gham e Batool (sa) manana bahut zaruri hai  Yeh baat sub ko batana bahut zaruri hai Janab e Zahra (sa) ki rukhsat hai isliye logo Aza ka farsh bichana bahut zaruri hai Woh log kaun thay Zahra (sa) kay qatl main shamil Har ik ka naam batana bahut zaruri hai Aza ka farsh bicha hai Hussain (as) ki maa'n ka Tumhara purse ko aana bahut zaruri hai Tum apni betiyon ko Fatima (sa) ki seerat ka Woh dars roz padhana bahut zaruri hai Tabrrah dushman e Zahra (sa) peh kijiye ga sabhi Amal yeh bhool na jana bahut zaruri hai Bahisht kay liye waiz tujhe namaz kay sath Ali (as) ko dil main basana bahut zaruri hai Ghame Batool main KAMI ZEYA yeh yaad rahe Ki nauha sunna sunana bahut zaruri hai  ..............Zeya (Haideri).............. YouTueb Search On Zeya Jalalpuri

Salam BiBi Fatima Zahra (sa) bhala kis jurm main Zahra (sa) ko kalma go rulate hain

Salam BiBi Fatima Zahra (sa)  Bhala kis jurm main Zahra (sa) ko kalma go rulate hain Nabi zadi ka baad e Mustafa kyon dil dukhate hain Jigar ka tukda jis ko Ahmad e mukhtar kahte thay Jahan aa kar salami khuld se jibreel dete thay  Sitam kaisa hai ya rab woh musalman dar jalate hain Bhare darbar main haq apna lene aai hain Zahra (sa)  Qayamat ho gai darbar main manzar ajab dekha Khadi roti rahin Zahra (sa) sitamgar muskurat e hain Pidar ki yaad main royen rahen ashkon se aankhen num Shikasta ho gaya pahlu liye Mohsin ka dil peh gham  Na jee payengi ab Zahra (sa) masayeb yeh batate hain Payamber khab main aakar kahen Zahra (sa) se aye beti  Mujhe maloom hai ummat tujhe jeene nahi deti Meri bachchi na ghabra hum tujhe lene ko aate hain Ik aisa waqt bhi aaya qayamat ho gai barpa Zamane kay sitam sah kar jahan se chal basin Zahra (sa)  Gham e Zahra (sa) main sardar e jina aansu bahate hain Ajab thay bain yeh ro kar Hussain (as)...

Salam BiBi Fatima Zahra (sa) Baad e Rasool Kaisa ummat ne zulm dhaya

(Salam) Baad e Rasool (s.a.w.w) kaisa ummat ne zulm dhaya Jalta hua jo dar tha Haye Zahra (sa) peh hai giraya Aye kalma padhne walo woh ghar hai Fatima (sa) ka Ahsan mano jisne haye islam ko bachaya Beti hai Mustafa ki kuch to lehaz karte  Kyon Fatima (sa) ko tum ne haye darbar main bulaya Ro ro kay mangti thi haq Mustafa ki beti Ghasib shaqi tha kaisa haye jis ko rahem na aaya Beti na apni maa'n ko pahchan pai logo  Mazlooma Sayyada par haye aisa bhi waqt aaya Bait e Hunz main royen kyon kar na ja kay Zahra (sa) Ummat kay hathon jis ne haye kya kya na gham uthaya Kaisa sitam tha Zahra (sa) duniya se chal basin jab Aale Nabi kay ghar main haye kohram tha khudaya Bole Hussain (as) ro kar aaunga na main Amma'n Awaaz de kay mujh ko haye tumne na gar bulaya Ghurbat ki inteha hai taboot Fatima (sa) ka Maula ne mere shab main haye kis tarah se uthaya Kohram mach gaya hai majlis main Fatima (sa) ki KAMI ZEYA ne tera haye nauha yeh jab sunaya Poet:Kamran A...