Sakhi Abbas (as) tu kitna naseeb wala hai



Sakhi Abbas (as) tu kitna naseeb wala hai
Tujhe Hussain (as) ki bahno ne mil kay pala hai

Ali (as) ka beta hai mushkil kusha to tu bhi hai
Tu he to dil ki muradon ka sunne wala hai

Main apni koi museebat Ali (as) se kahta nahi
Ki mere ranjo masayel ko tu ne tala hai

Badi ajeeb hai nisbat khuda kay ghar se teri
Ghilaf kabe ka kala alam bhi kala hai

Hain tere dar kay gadagar yeh sare nauha khan
Hamare namo’n nasab ka yahi hawala hai

Woh tujh se kaise muhabbat karen Mere Ghazi (as) 
Woh munkiron main se hain jin kay dil peh tala hai 

Main mushkilon main ghira tha Aye Hazrat e Abbas as 
Bhanwar se tu ne safeena mera nikala hai 

Salam karte hain Ghazi as tumhari azmat par 
Khuda ne bakhsha tujhe sharf kaisa aala hai

 ............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri



Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida