Posts

Showing posts from April, 2020

Salam Hazrat Ali Akbar (as) || Jawa’n bete kay lashe par yeh laila sonchti hogi

                     (Nauha) Jawa’n bete kay lashe par yeh laila sonchti hogi Mujhe is din se pahle he na kyon maut aagayi hogi Nikali hogi shah ne jab sina Akbar (as) kay seene se Ali (as) ne badh kay peshani pisar ki choom li hogi Kaha karti thi laila kaise baithungi main saye main Mere Akbar (as) ki mayyat jalti raiti par padi hogi Tadap jati thi aksar sonch kar yeh Fatima Sughra (sa) Mere bhaiyya Ali Akbar (as) ki shadi ho gayi hogi Khuda jane dil e sarwar ka aalam kya hua hoga Ali Akbar (as) ne jis dam aakhri angdayi lee hogi Ali Akbar (as) ka lasha aap le jate to hain lekin Dar e khaima peh maula gham zada laila khadi hogi Sukoon e qalb e laila rahat e jaa’n thay yeh Zainab (sa) kay SAEED Akbar (as) ko marne ki riza kaise mili hogi Poet: Janab SAEED Sahab …………Zeya Abbas (Haideri)………… YouTube Search On Zeya Jalalpuri          ...

Kaha yeh Zainab (sa) ne qabr e shah par, batao kya kya sunau’n bhaiyya

                          (Nauha) Kaha yeh Zainab (sa) ne qabr e shah par, batao kya kya sunau’n bhaiyya Main sath layi hu’n chand tohfe, jo tum kaho to dekhau’n bhaiyya Tumhare seene peh sone wali, lahed main aaram kar rahi hai Jo mera Abbas (as) us ko puche, kaha’n se bachchi ko lau’n bhaiyya Dayar e kufa main hum jo pahunche, to daur baba ka yaad aaya Bahen ne kya inqelab dekha, yeh tum ko kaise sunau’n bhaiyya Jo mera wali mujhe bulaye, to mujh peh aayegi ik qayamat Hain bazuo’n par nisha’n rasan kay, main samne kaise jau’n bhaiyya Lahed peh amma’n ki jaungi main, tumhara kurta sipurd karne Jo tum kaho to salam kar kay, main bazuo’n ko dekhau’n bhaiyya Bawaqt e rukhsat mazar e sarwar, peh aik mahshar bapa tha AKHTAR Bahen yeh kahti thi bin tumhare, watan ko kaise main jau’n bhaiyya Poet: Janab AKHTAR Sahab …………Zeya Abbas (Haideri)………… YouTube Search On Zeya Jalalpuri ...