Posts

Showing posts from March, 2020

Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab (sa) hain

                          (Nauha) Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab (sa) hain ye hogaya kya hulya kya aap hi Zainab (sa) hain 2. kyun khaak pe bhaithi hain kya hogaya shahzadi     kuchh mujhse bhi famaye'n kaise hui barbadi      mein kyun nahi pehchana      kya aap hi Zainab (sa) hain 3. Main samjha koi bibi aayi hai paye hajat      Main dekh ke ghabraya Allah re ye ghurbat      Mujhko na yaqee(n) ayaa      kya aap hi Zainab (sa) hain 4. Yeh soch raha tha main hai aaj udaasi kyu'n       Ghar aati nahi'n waapis Ahmed ki nawasi kyu'n       Yeh dekh ke ghabraya      kya aap hi Zainab Hain 5. Bachay hain meray kyu'n kar nazro'n se nihaa'n Bibi        Haan Aun o Mohamad ko Chod aayi Kahan Bibi       Bibi na kare'n girya ...

Marne se pahle ya khuda zawwar kar Hussain (as) ka

                      (Salam) Marne se pahle ya khuda zawwar kar Hussain (as) ka Hum momino ki yeh dua zawwar kar Hussain (as) ka Jate hain dekho karwa’n boodhe bhi hain aur kayi jawan Panjatan (as) kay sadqe ya khuda kar puri sub ki ilteja Aankho’n se dekhe’n karbala zawwar kar Hussain (as) ka Hum to tere hub daar hain Zahra (sa) kay pursa daar hain Matam karengay hum waha’n bibi kay matam dar hain Hasnain (as) ka hai wasta zawwar kar Hussain (as) ka SABIR najaf ko jayengay dil ki muraad payengay Hasnain (as) ki mazar par aansu bahut bahayengay Kar maaf meri har khata zawwar kar Hussain (as) ka ............Zeya Abbas Haideri............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri                    India 

Nauha Hazrat Ali Akbar (as) ll Hussain (as) kahte thay ro ro kay meri maa’n Zahra (sa) Duaye’n mango jawa’n lal tak pahunch jau’n

                          (Nauha) Hussain (as) kahte thay ro ro kay meri maa’n Zahra (sa) Duaye’n mango jawa’n lal tak pahunch jau’n Mera shabeeh e payamber mujhe nahi milta Duaye’n mango jawa’n lal tak pahunch jau’n Hai kaun mujh ko jo pahunchaye mere betay tak Lagengi thokare’n kitni waha’n pahunchne tak Khuda he jane ki tay kaise rasta hoga Duaye’n mango jawa’n lal tak pahunch jau’n Bahut sambhal kay ik ik qadam uthata hun Magar main thokare’n maqtal main phir bhi khata hun Hai kaun thame jo bazu yeh aan kar mera Duaye’n mango jawa’n lal tak pahunch jau’n Bade he nazo’n se bachpan main jis ko pala hai Usi peh waqt e zaeefi main aisa aaya hai Jawan lal ki mayyat talash hai karta Duaye’n mango jawa’n lal tak pahunch jau’n Meri zaban main hain pyas se pade chale Hu’n itna pyasa kaleje main aise waqt pade Nazar main pyas ki shiddat se hai dhuwa’n chaya Duaye’n mango jawa’n ...

Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa) Mili hai rahayi chalo ab madina

                  (Nauha) Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa) Mili hai rahayi chalo ab madina Utho aye Sakina (sa) Mili hai rahayi chalo ab madina Yeh purhaul zinda’n kay tareek saye Yaha’n khoon kay tu ne aansu bahaye Khuda is jagah par kisi ko na laye Kisi be watan ko na qaidi banaye Dua teri ab aasra hai Sakina (sa) Mila aaj hukm e rehayi Sakina (sa) Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa) Mili hai rahayi chalo ab madina Yeh chota sa sin aur woh zalim kay durre Yeh nazuk gale par nisha’n rassiyo’n kay Tamcho’n ki zarbo’n se rukhsar neele Yeh kurta jo dooba hua hai lahu se Utho qabr e Ahmed peh jayengay bibi Unhi ko yeh halat dekhayengay bibi Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa) Mili hai rahayi chalo ab madina Suno pahle karbobala hum chalengay Wahi’n par shaheedo’n ka matam karengay Har ik qabr par fateha bhi padhengay Tarayi peh Abbas (as) se bhi milengay...

Nauha Imam Sajjad (as) ll Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

                          (Nauha) Sar zameen e karbala par khoon main dooba chaman Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as) Kho kay 18 bani hashim ko jab laute watan Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as) Puchiye maula kay dil se khoon main tar mayyate’n Ik nazar main kis tarah dekhi 72 mayyate’n Jism par un mayyato’n kay khak e sahra ka kafan Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as) Sath sub kay lasha e Asghar (as) tha run main you’n pada Dhoop main ho jaise koi phool murjhaya hua Har ghadi rahta nazar main lasha e ghuncha dahen Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as) Jab kisi kadyal jawa’n ko dekh lete thay Imam (as) Haye Akbar (as) kah kay aur ghash kha kay gir padte imam (as) Bhoolte kaise woh 18 baras ka gul badan Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as) Jab kafan pahne huway koi janaza dekhte Turbat e Shabbeer (as) peh rote kaleja th...

Zinda'n Se Chut Kay Zainab (sa) Karbobala Main Aayi

                         (Nauha) Zinda’n se chut kay Zainab (sa) karbobala main aayi Turbat peh shah e dee’n ki boli falak satayi Jati hun ab madine – uth tho lahed se bhai Zinda’n se chut kay…………………………….. Laye thay sath le kar ik rose tum watan se Ab bolte nahi ho kya ho khafa bahen se Ruthe ho kis khata par – yeh to batao bhai Zinda’n se chut kay…………………………….. Sar ko kata kay soye choda bahen ko kis par Abbas (as) hain na Akbar (as) Qasim (as) hain aur na Asghar (as) Ab jee kay kya karegi – yeh Fatima (sa) ki jayi Zinda’n se chut kay…………………………….. Baad aap kay shah e dee’n khaima jala hamara Majboor bibiyo’n ko qaid e rasan main bandha Sooji hui hai dekho – ab tak meri kalayi Zinda’n se chut kay…………………………….. 12 gale bandhe thay choti si ik rasan main Be yaro be madad thay karbobala kay ban main Hum bekaso’n ki koi – su...

Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho ll Anjuman Jafaria Redg,Mustafabad Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India

                     (Nauha) Muntashir ho kar fiza main dard kay nalo utho Aye zaban e khushk se lipte huway chalo utho Raushni quran ki eamaan kay halo utho Roze chehlum aagaya wahdat kay matwalo utho Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho Qafela aaya hai lut kar pasba’n koi nahi Maut saya kar chuki hai hum zaba’n koi nahi Sub zaeefo na tawa’n hain naujawa’n koi nahi Khak khaimo ki batati hai yaha’n koi nahi Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho Chayi hai mayoosiya’n bhi har dil e muztar kay pass Sooke aansu ab kaha’n baqi hai chashm e tar kay pass Kab se hai khamosh laila turbat e Akbar (as) kay pass Maa’n ka dil bhi dafn hai qabr e Ali Asghar (as) kay pass Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho Aane wale de chuke h...