Nauha Imam Sajjad (as) ll Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)


                         (Nauha)
Sar zameen e karbala par khoon main dooba chaman
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)
Kho kay 18 bani hashim ko jab laute watan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Puchiye maula kay dil se khoon main tar mayyate’n
Ik nazar main kis tarah dekhi 72 mayyate’n
Jism par un mayyato’n kay khak e sahra ka kafan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Sath sub kay lasha e Asghar (as) tha run main you’n pada
Dhoop main ho jaise koi phool murjhaya hua
Har ghadi rahta nazar main lasha e ghuncha dahen
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Jab kisi kadyal jawa’n ko dekh lete thay Imam (as)
Haye Akbar (as) kah kay aur ghash kha kay gir padte imam (as)
Bhoolte kaise woh 18 baras ka gul badan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Jab kafan pahne huway koi janaza dekhte
Turbat e Shabbeer (as) peh rote kaleja tham kay
Khak ki chadar main lipta baap ka tukde badan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Bibiyo’n kay hath jis main thay pase gardan bandhe
Tha gala Sajjad (as) ka un main he bachcho’n kay gala
Is tarah se 12 qaidi 1 choti si rasan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Khoon kay aansu rulata tha yateema ka khayal
Har ghadi rahta khayalo’n main Sakina (sa) ka sawal
Sham ko yeh puchna jayengay hum kis din watan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

1 lamha bhi nahi bhoole Sakina (sa) ko kabhi
Qaid main nanhe gale se jab rasan kholi gayi
Tha Sakina (sa) kay gale par dekha jo daagh e rasan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Choti choti bachchiyo’n par jab kabhi padti nazar
Kah kay tab haye Sakina (sa) tham lete thay jigar
Mar gayi zindan main ghut ghut kay jo pyasi bahen
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Haye nana kay madine se main kitna door tha
Sham kay zindan mein main kis qadar majboor tha
De nahi paya Sakina (sa) ko bhi chota sa kafan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Pao’n main thi bediya’n lene kafan jaye kaha’n
Pani jee bhar kay nahi milta kafan paye kaha’n
Thi bahen badle kafan pahne jala ik pairahan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Kho kay jangal main bhara ghar haye ab kaise jiyo’n
Ho gaye sub qatl pyase pani main kaise piyo’n
Zibh kay bhi waqt baba thay mere tashna dahen
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)

Bus yahi to sonch kar rote thay maula aye ZAFAR
Zalimo’n ki qaid se azaad main hota agar
Bekafan baba ki khatir mang kar lata kafan
Yaad kar kay umr bhar rote rahe Zainul Eba (as)


Poet: Maulana Zafrul Hasan Zafar Sahab Mustafabad Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India

Nauha By Anjuman Jafaria Redg.Mustafabad Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India


…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                  India


Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida