Manqabat Bibi Fatima Zahra (sa) Kitni Bulandiyon Peh Hai aiwaan e Fatima (sa)
Manqabat Bibi Fatima Zahra (sa) Kitni bulandiyon pe hai aiwaan-e-FATIMA (S.A.) Rooh-ul-ameen hai surat-e-darbaane-e-FATIMA (S.A.) Haasil kahaan dimaagh ko irfaan-e-FATIMA (S.A.) Khuld-e-bareen hai naqsha-e-imkaan-e-FATIMA (S.A.) Kya sochiye bahar-e-gulistaan-e-FATIMA (S.A.) HASNAIN (A.S.) jab hon sumbul-o-rehaan-e-FATIMA (S.A.) Kuchh is liye bhi mujh ko tilaawat ka shauq hai Quran hai lafz-lafz sana-khwaan-e-FATIMA (S.A.) Karte firey zameen pe tijaarat bahisht ki Apne gadaagaron pe hai faizan-e-FATIMA (S.A.) Is ko mitaa sakengi na baatil ki saazishein Islaam pe hai saaya-e-damaan-e-FATIMA (S.A.) Poet: Shaheed Mohsin Naqvi Sahab ............Zeya Abbas Haideri............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri India