Manqabat Bibi Fatima Zahra (sa) Kitni Bulandiyon Peh Hai aiwaan e Fatima (sa)
Manqabat Bibi Fatima Zahra (sa)
Kitni bulandiyon pe hai aiwaan-e-FATIMA (S.A.)
Rooh-ul-ameen hai surat-e-darbaane-e-FATIMA (S.A.)
Haasil kahaan dimaagh ko irfaan-e-FATIMA (S.A.)
Khuld-e-bareen hai naqsha-e-imkaan-e-FATIMA (S.A.)
Kya sochiye bahar-e-gulistaan-e-FATIMA (S.A.)
HASNAIN (A.S.) jab hon sumbul-o-rehaan-e-FATIMA (S.A.)
Kuchh is liye bhi mujh ko tilaawat ka shauq hai
Quran hai lafz-lafz sana-khwaan-e-FATIMA (S.A.)
Karte firey zameen pe tijaarat bahisht ki
Apne gadaagaron pe hai faizan-e-FATIMA (S.A.)
Is ko mitaa sakengi na baatil ki saazishein
Islaam pe hai saaya-e-damaan-e-FATIMA (S.A.)
Poet: Shaheed Mohsin Naqvi Sahab
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment