Posts

Showing posts from May, 2020

Salam Imam Ali (as) ll Tadap kay rah gaya maula hamara aaj masjid main

                              (Salam) Tadap kay rah gaya maula hamara aaj masjid main Ali (as) ka khoo’n main dooba hai amama aaj masjid main Lagayi zarb kaisi ibn e muljim tu ne Haider (as) par Mosalle par tadap uththe hain maula aaj masjid main Sar e aqdas peh kaisa waar tu ne kar diya zalim Ali (as) ka ho gaya sar para para aaj masjid main Lahed bint e payamber ki laraz uththi madine main Kiya zalim ne maula par jo hamla aaj masjid main Qayamat ho gayi barpa yeh kufe ki fizao’n main Utha Hasnain (as) kay sar se hai saya aaj masjid main Yateemo’n aur ghareebo’n ka sahara ab nahi koi Ali (as) ka khoo’n main dooba sarapa aaj masjid main Zaher aalood thi kitni bata talwar yeh muljim Ali (as) jaisa bahadur bhi na sambhla aaj masjid main Jabee’n par khaak malte malte yeh kahne lage maula Lahoo main dooba hai yarab mosalla aaj masjid main Sada Jibreel (as) ki goonji hai kuf...