Posts

Showing posts from February, 2020

Bhai ko ab wida karo Zainab (sa)

(Nauha) Bhai ko ab wida karo Zainab (sa) Farz maa'n ka ada karo Zainab (sa) Dil kay you'n tukde hote dekha hai Lash e Qasim (as) bikharte dekha hai Nau jawan ko tadapte dekha hai Mere dukh ki dawa karo Zainab (sa) Bhai…………………………………… Aada kahimo'n ko jab jalayengay Bachche dahshat se kanp jayengay Roye to taziyane kahyengay Tum dilasa diya karo Zainab (sa) Bhai…………………………………….. Sar se chadar laeen cheenegay Bazuon main rasan bhi bandhengay Dar badar be rida phirayengay Sabr tum kar liya karo Zainab (sa) Bhai…………………………………… Uth gaya zindagi ka sarmaya Dunga sar main ne tha kiya wada Run main karna hai aakhri sajda Shukr e khaliq ata karo Zainab (sa) Bhai…………………………………. Tum ko duniya main hai abhi rahna Aye bahen jab namaz e shab padhna Mujh ko bhi yaad kar liya karna Haq main mere dua karo Zainab (sa) Bhai………………………………………. Jab Sakina(sa) tamanche khayegi Yaad meri use satayegi Mujh ko maqtal main ja kay dhoondhe gi Tum hifazat kiya karo Zai...

Faras ki zeen se beshak utar gaye hain Hussain (as)

                        (Salam)   Faras ki zeen se beshak utar gaye hain Hussain (as) Zameen dhoond rahi hai kidhar gaye hain Hussain  (as) Karega shimr ka khanjar toh sirf sar ko juda x2 Wagarna laasha e Akbar (as) peh mar gaye hain Hussain  (as) Sare burida katey honth khoon chehre par x2 Ajeeb hal me sheere'n kay ghar gaye hain Hussain  (as) Main milne shaam ke zinda'n me aaunga tujhse x2 Ye baat akhri beti se kar gaye hain Hussain  (as) Kahi hain Qasim-o-Abbas  (as)  aur kahi'n Akbar x2 Kaha'n kaha'n tere tukde bikhar gaye hain Hussain  (as) Qazaa kay baad bhi bhai behen kay saath raha x2 Jidhar-jidhar gayi Zainab (sa) udhar gaye hain Hussain  (as) Kisi ne maara hai paththar bahen ko kya AKBAR x2 Jo karte karte tilawat thaher gaye hain Hussain  (as) ............Zeya Abbas Haideri............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri  ...

Shaam Ki Aurton Aik Wada Karo, Roz Qabre Sakina (sa) Pe Aaogi Tum

                                  (Salam) Shaam Ki Aurton Aik Wada Karo, Roz Qabre Sakina (sa) Pe Aaogi Tum .....2 Shaam Ki Aurton Aik..... Jab Talak Laut Kar Mai Na Aaun....2 Aake Shamma Jalaogi Tum Shaam Ki Aurton Aik.... Surate Shaahe Dee'n Bekafan Bhi, Mere Jaisi Aseer E Mehen Bhi Khaali Kurte May Madhfoon E Ghurbat, Misle ASGHAR(as) Rahi Bekafan Bhi Kya Kafan Ki Tarah Roz Chadar, Is Lehad Par Chadhaogi Tum..... Shaam Ki Aurton Aik.... Aik Yasrab Ki Thi Shaahzadi, Uska Saqqa Tha ABBAS (as) E GHAZI Mashq Lekar Gaya Suye Darya, Aur Khabze Mai Karli Taraayi Loriyo'n May Yeh Sachi Kahani, Roz Isko Sunaogi Tum Shaam Ki Aurton Aik.... Humne Zinda'n Se Paayi Rehaai, Ab Behen Paas Hogi Na Bhai Baat Itni Si Bas Yaad Rakhna, Meri Bachchi Hai Gham Ki Satayi Tumne Bazaar May To Sataya, Ab Na Isko Sataogi Tum Shaam Ki Aurton Aik.... Jab Kabhi Qaid Khane Main Aana,...

Nauha Hazrat Ali Asghar (as) ll Do bar zalimo’n ne mujhe qatl kiya hai

                          (Nauha) Maqtal main sada deta hai yeh lashaye Asghar (as) Do bar zalimo’n ne mujhe qatl kiya hai 6 mah kay sin main yeh sitam aye meri mather Do bar zalimo’n ne mujhe qatl kiya hai Har aik ka sar taig e sitamgar se kata hai Lekin meri tarah na koi qatl hua hai Naize se meri lash nikali gai bahar Do bar zalimo’n ne mujhe qatl kiya hai Chalti thi mere halq peh jis waqt ki talwar Hanste thay sitam dekh kay sub ahle jafa kaar Acha hua ki aap ne dekha nahi manzar Do bar zalimo’n ne mujhe qatl kiya hai Is sin main tere lal peh woh zulm hua hai Sar naize peh hai aur badan run main pada hai Kuch rahm nahi karte laee’n haye moqaddar Do bar zalimo’n ne mujhe qatl kiya hai Jab lash meri dhoodh rahe thay yeh sitamgar Aur naizo’n ko jis waqt chubhate thay zamee’n par Dil mera dahelta tha bahut qabr kay andar Do bar zalimo’n ne mujhe qatl kiya hai Turbat ...

Alwedai Nauha 8 Rabeeul Awwal ll Shah ka ahle aza hota hai matam tamam

                      (Nauha) Aaj aza khane se hota hai rukhsat imam Sayyada (sa) ne pala tha chakki jise pees kar Aaj usi lal ka hota hai matam tamam Haye ghazab be khata tan se kiya sar juda Rone na paye haram kah kay mere tashna kaam Arsh peh roohul amee’n kahte thay sar peet kar Sayyada (sa) kay lal ka hota hai matam tamam Baqi hai jab tak yeh dam kam na kabhi hoga gham Ashk bahaye’n gay hum le le kay pyaso’n ka gham Saal bhar kay baad phir howay ga yeh gham naseeb Maut agar aagai khuld main hoga maqaam Aakhri hai yeh alam aakhri taboot hai Raunaq e gham hai tamam chutta hai be kas imam Baad shahe karbala bain yeh Zainab (sa) ka tha Bachche tadapte rahe paya na aab o taaam Nala o shewan karo nusrate Shabbeer (as) main Fatima (sa) ko pursa do hota hai matam tamam Kijiye maula qabool aakhri hadya mera Karte hain ahle aza nazr yeh ashko’n kay jaam KAUSAR e maghmoom ki ...

Madina ja kay bahen ko salam kah dena

          (Nauha)   Sakina (sa) kahti thi apni phuphi se ro ro kar Madina ja kay bahen ko salam kah dena Meri mareeza bahen ko salam kah dena Na ja sakungi palat kay dobara ab main ghar Madina ja kay bahen ko salam kah dena Hai karti tum se waseeyat faqat yahi muztar Madina ja kay bahen ko salam kah dena Mujhe yaqee’n hai mulaqaat ab nahi hogi Meri bahen se koi baat ab nahi hogi Zarur yaad mareeza woh kar rahi hogi Meri judai se haye tadap rahi hogi Hai kaisa haal bahen ka nahi hai us ko khabar Madina ja kay bahen ko salam kah dena Phuphi palat kay madina kabhi jo jao gi Meri mareeza bahen ko gale lagao gi Agar jo puche gi mujh ko to kya batao gi Bahen ko dekh kay aans’u faqat bahao gi Meri mareeza bahen ko salam kah dena Madina ja kay bahen ko salam kah dena Jo puche mujh ko Sakina (sa) nazar nahi aati To kahna sham kay zinda’n main hai bahen soti Na kahna mere gale main rasan bandhi thi phuphi Nahi ...

Salam Bibi Sakina (sa) ll Yarab watan chute na koi be watan na ho

                  (Salam) Yarab watan chute na koi be watan na ho Gar be watan ho sath main koi bahen na ho Jis tarah Fatima (sa) ka chaman dasht main luta Barbad is tarah kisi maa’n ka chaman na ho Jaise tha garm rait peh lasha Hussain (as) ka Jalti zamee’n peh lash koi be kafan na ho Ho sath main agar koi beemar e natawa’n Zanjeer tauq main woh aseer e mehan na ho Pahchan paya beta na khud apne baap ko Teero’n se is tara koi chalni badan na ho Jhule main jhulta hai jo masoom be zaba’n Teero’n ki zad peh aisa koi gul badan na ho Woh din khuda dekhaye na shadi ho raat main Aur dopahar main rand ko bhi dulhan na ho Gar kamsini   main koi bhi beti yateem ho Us ke gale main zalimo’n sitam ki rasan na ho Bhai koi uthaye na apni bahen ki lash Yarab kisi yateem ka kurta kafan na ho Hai ISHTEYAQ ki yahi hasrat zaban par Juz midhate Hussain (as) koi be sukhan na ho Poet: ISHTEYAQ ...

Shab e Aashur nauha ll Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)

(Nauha) Awaaz hai yeh dasht main roohe Batool (sa) ki Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Kal uske sookhe halq peh chal jayegi churi Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Aye kash hoti zinda jahan main yeh gham zada Kar deti apne aap ko is laal par fida Afsos mil na pai mujhe itni zindagi Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Beti lahed ko chod kay aai hun isliye Ik raat aur jeete huway dekh lun ise Us bewatan ki baqi hai thodi si zindagi Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Jee bhar kay tu bhi deed ki hasrat nikal le Bhai se choot jana hai ab dil Sambhal le Beti hai mere lal ki yeh raat aakhri Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Karbobala ki banna hai kal tujh ko Fatima (sa) Sookhe huway gale ko hai phir us...

Jab Ahle haram dasht main ban jate hain qaidi

                        (Nauha) Jab Ahle haram dasht main ban jate hain qaidi Abbas (as) ko tab yaad bahut karte hain qaidi In sare aseero’n main Sakina (sa) he thi choti Garden ki rasan khinchti to bachchi thi tadapti Yeh dekh kay chalte huway ruk jate hain qaidi Jab le kay chale aada suway sham barahna Sub chehro’n se apne hain kiye balo’n se parda Ro ro kay ridao’n kay liye kahte hain qaidi Zindan main jab mar gai masoom Sakina (sa) 2 gaz bhi kafan pa na saki haye yateema Gurbat peh Sakina (sa) ki bahut rote hain qaidi Nauha By Anjuman Jafaria Redg. Jalalpur Ambedkar Nagar …………Zeya Abbas Haideri………… YouTube Search On Zeya jalalpuri                     India  

Chala marne Ali Akbar (as) – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa)

                                (Nauha) Chala marne Ali Akbar (as) – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Lagi barchi mere dil par – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Guzara bachpana apna tumhari goad main Akbar (as) – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Laga hai saal 18 to dekho gi yeh tum kyon kar – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Jab hoga qatl ka manzar – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Chala marne Ali Akbar (as) – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Duaye’n do balaye'n lo kaho mujh se gale mil lo – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa)   Milega phir kahan mauqa kaho surat to dekhla do – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Na dekha main kabhi jee bhar – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Chala marne Ali Akbar (as) – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Yeh pyasa hai yeh tanha hai udhar lakho’n ka lashkar hai – Bahen Zainab (sa) Bahen Zainab (sa) Kisi ...

Nauha Bibi Sakina ll Baba bahut andhera hai - dar lagta hai ll

                       (Nauha) Baba bahut andhera hai - dar lagta hai Zinda’n main ab basera hai - dar lagta hai Shimr e laee’n dekhata hai khamjar jo baar baar – dar lagta hai Durre tamanche marta mujh ko yeh khoon khar – dar lagta hai Had ho gai sitam ki – kurta jalata hai   – baba bahut andhera hai  Sub kay gale main hai rasan main sub se choti hun – dar lagta hai Dukhta hai gala is liye panjo’n peh chalti hun – dar lagta hai Beti peh aap ki taras – koi na khata hai –  baba bahut andhera hai Kano se mere shimr ne cheene hain baliya’n – dar lagta hai Bahta hai khoon kano se sahmi hain bibiya’n – dar lagta hai Ghabra kay kanpti hun – woh muskurata hai –  baba bahut andhera hai Sub sar barahna bibiya’n darbar main khadi – dar lagta hai Chehre chupati balo’n se hai sabr ki ghadi – dar lagta hai Be bus gharana aap ka – aansu bahata hai –  baba bahut andhera hai Be...

Dua karo mera noor e nazar palat aaye

                   (Nauha) Dua karo mera noor e nazar palat aaye Mera pisar mera lakht e jigar - palat aaye Kaha Hussain (as) ne laila se roko Akbar (as) ko Karu’n main pyar lipat kar - kaho palat aaye Hai dhoop itni ki shole ugal rahi hai zamee’n Badhe gi pyas ki shiddat - kaho palat aaye Main dulha us ko banau’n tamanna hai ye meri Penhau’n sehra saja kar - kaho palat aaye Sakina (sa) kahti hai baba bula lo bhaiyya ko Chacha bhi aaye na ja kar – kaho palat aaye Jawan beta hai mera hai minnato’n wala Koi to rok lo badhkar – kaho palat aaye Jab is kay seene main barchi ka phal jo toote ga Main kaise dekhun yeh manzar – kaho palat aaye Main kaise lash bachau’n kamar bhi tooti hai Qadam qadam peh hai thokar – kaho palat aaye Zara si taab nahi hai main thak gaya hun bahut Subah se lashe utha kar – kaho palat aaye Nauha By Anjuman Hyderia Al – ...

Aaj bhi Zainab (sa) ki aati hai sada bhai Hussain (as)

                      (Salam)   Aaj bhi Zainab (sa) ki aati hai sada bhai  Hussain (as)  Tera chehra teri aankhein bhool kab payi Hussain  (as) Chalte naaqe se giraya khud ko jalti rait par Ghutniyo'n ke bal mai teri laash tak aayi Hussain  (as) Bas mai ghabrayi thi khanjar tujhpe chalta dekh kar Phir kisi mushkil main ghir kar mai na ghabrayi Hussain  (as) Kaun tha jo marne walon may nahi tha khubaru Bhoolne baithi to kis kis ki na yaad aayi Hussain  (as) Bah rahe thay aankh se aansu teri rukhsat kay waqt Phir koi aansu na tapka aankh pathrayi Hussain  (as) Haath main kooze liye sab aasma'n takte rahe Abr ne ek boodh pani ki na barsayi Hussain  (as) Door uftada safar se laut kar maine NAVED Thanda pani jab piya bas teri yaad aayi Hussain (as)  ............Zeya Abbas Haideri............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri      ...