Dua karo mera noor e nazar palat aaye


                   (Nauha)
Dua karo mera noor e nazar palat aaye
Mera pisar mera lakht e jigar - palat aaye

Kaha Hussain (as) ne laila se roko Akbar (as) ko
Karu’n main pyar lipat kar - kaho palat aaye

Hai dhoop itni ki shole ugal rahi hai zamee’n
Badhe gi pyas ki shiddat - kaho palat aaye

Main dulha us ko banau’n tamanna hai ye meri
Penhau’n sehra saja kar - kaho palat aaye

Sakina (sa) kahti hai baba bula lo bhaiyya ko
Chacha bhi aaye na ja kar – kaho palat aaye

Jawan beta hai mera hai minnato’n wala
Koi to rok lo badhkar – kaho palat aaye

Jab is kay seene main barchi ka phal jo toote ga
Main kaise dekhun yeh manzar – kaho palat aaye

Main kaise lash bachau’n kamar bhi tooti hai
Qadam qadam peh hai thokar – kaho palat aaye

Zara si taab nahi hai main thak gaya hun bahut
Subah se lashe utha kar – kaho palat aaye

Nauha By Anjuman Hyderia Al – Hind Hyd India

............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                  India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida