Posts

Showing posts from May, 2019

28 Rajab Madina Chod Kay Maula Hussain (as) Jate Hain

                      Salam  Madina Chod Kay Maula Hussain (as) Jate Hain Ghareeb e Fatima (sa) Karbobala Basate Hain Salam Aakhri Tum Par Hussain (as) Ka Amma’n Musalma’n Dekhiye Hum Se Watan Chudate Hain Who Waqt Aagaya Ki Nana Ki Dijiye Rukhsat Watan Se Wadaye Tifli Nibhane Jate Hain Mujhe Bhi Le Chalo Hamrah Kahti Hai Ro Kar Kyon Baba Fatima Sughra (sa) Ka Dil Dukhate Hain Chalo ZEYA Kabhi KAMI Hussain (as) Kay Dar Par Ki Nauha Ja Kay Yeh Maula Ko Hum Sunate Hain Poet: Kamran (Kami)  ............Zeya Abbas (Haideri)........... YouTube Search on Zeya Jalalpuri                              India  

Salam Maula Ali (as) Haye Kohraam Hua

             Salam Maula Ali (as)  21 Ramadan 40 Hijri Shahadat Imam Ali Ibn e Abi Talib (as) Jab taigh e bin e muljim Haider (as)  kay chali sar par Haye kohraam hua Kya waar shaqi ka tha tar khoo'n main huway Haider (as) Haye kohraam hua Kufe ki fiza hain nauha gar Sajde main huway zakhmi Haider (as) Ghash kha kay girin Zainab (sa) Yeh kah kay mere baba Haye kohraam hua Zahra (sa) kay yateemo'n par kaisi Tooti hai qayamat ki yeh ghadi Shabbar (as) kay gale lag kar Shabbeer (as) kare girya Haye kohraam hua Kyon rozedaar peh zulm kiya Tu ne bin e muljim yeh to bata Ik pal kay liye tujh ko Kya raham nahi aaya Haye kohraam hua Abbas (as) se bole Haider (as) yeh Na ro mere dil kay tukde Tu mere alamdar e lashkar hai mere beta Haye kohraam hua 19 (Unneeswin)  shab jo aai hai Zainab (as) peh yateemi chayi hai Ummat ne diya kaisa Yeh ajr risalat ka Haye kohraam hua ...