Posts

Showing posts from January, 2018

Salam BiBi Sakina (sa) kya Sakina sa ko bhool payengay

Jab chale run ko shah e karbobala Shor khaimon main tha qayamat ka Shah ne beti ko goad main jo liya Usne ro kar pidar se yeh pucha Baba itna mujhe batayen gay Kya Sakina(sa) ko bhool payen gay Is qadar aap ka hai khushk gala Aah bharne ka hausla na raha Kis tarah loriyan sunayen gay Kya Sakina (sa)………………………… Apne jazbaat kar liye qabu Aap ne zabt kar liye aansu Zakhm e dil kis tarah chupayen gay Kya Sakina (sa)…………………………….. Aakhri baar dekh lun chahra Mujh ko jane hai kyon yaqeen baba Aap ab laut kar na aayen gay Kya Sakina (sa)……………………………… Koi baqi nahi raha baba Aap khud ja kay laye hain lasha Apni khatir kise bulayen gay Kya Sakina(sa)………………………………. ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri                         India 

Uthe hain do janaze aye azadaro andhere main || Anjuman jafaria rajisterd mustafabad jalalpur ||

Hain jaise dono tafseeren masayeb kay saheefe ki  hai ik karbobala ki dusri Zahra sa madine ki  Madine main jala hai Fatima Zahra (sa) ka darwaza  Sakina (sa) ka yahan sham e ghareeba'n main jala kurta  laga Zahra (sa) kay hathon peh sitamgar ka wahan durra  yahan rukh peh Sakina (sa) kay tamancha shimr e zalim ka  uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main  Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main wahan rassi main Zahra (sa) ne Ali (as) ka ik gala dekha  Sakina (sa) gala tha shimr ne rassi main youn bandha  bahut mushkil Sakina (sa) kay liye tha sans ka lena  gale peh rakh liya karti thi apne hath ko dukhiya  uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main  Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main gira Zahra (sa) kay pahlu par wahan jalta jo darwaza  daro deewar kay maabain pis kar rah gai Zahra (sa)  Sakina (sa) ko yahan naqe ki nangi pusht ...

Aati hain bahut dair se rone ki sadayen || anjuman kazmia jafrabad jalalpur ||

(Nauha)  aati hain bahut dair se rone ki sadayen *2 nazdeek kahin sham ka zindan to nahi hai *2  rone ki sadaon main hai masoom karahen *2 nazdeek kahin sham ka zindan to nahi hai  kya baap se beti kay bichudne ka sama hai *2 kya koi yateema yeh kahin mahwe fughan hai *2  baba kay liye koi pareshan to nahi hai *2 nazdeek kahin sham ka zindan to nahi hai  kyon chai hai mahaul main gham laak udasi *2 kya mar gaye armano ki pali koi bachchi *2 hathon se jigar thame koi maa'n to nahi hai *2 nazdeek kahin sham ka zindan to nahi hai  us qaid main eaza bhi badhate rahe zalim *2 sar baap ka beti ko dekhate rahe zalim *2 sar le kay padar ka wahi nala to nahi hai  nazdeek kahin sham ka zindan to nahi hai  badh badh kay lahu zakhm ka jab khushk hua tha *2   sunte hain ki tha jism se chipka hua kurta *2 phir uske rulane ka yeh saman to nahi hai *2 nazdeek kahin sham ka zindan to nahi hai  sunte hain ki ghurbat main use...

Ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main ||Anjuman Imamia Kareempur Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India ||

Zindan main yeh kahti hai Sakina (sa) mere bhaiyya  ab aur kitne din hamen rahna qaid main  kya ab nahi qismat main Sakina sa ki madina  ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main  kya jaaniye is desh ka kaisa yeh chalan hai *2 zindan main bhi gardan meri pa band e rasan hai *2  ammu jo mere hote to yeh haal na hota *2 ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main  kab khahar e beemar ka deedar karungi *2 Sughra sa se gale mil kay use pyar karungi *2 bechain bahut hogi watan main meri Sughra sa *2 ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main  hai qaut kay kanton se gala aap ka zakhmi *2 bedi ki ragad se nazar aane lagi haddi *2 dushwar hai langar kay sabab aap ka jhukna *2 ab aur kitne din hamen rahna hai qaid main  is dard ki mari ko faqat itna bate den *2 kyon baith kay padhti hain phuphi amma namazen *2 kya ab phuphi amma se utha bhi nahi jata *2 ab aur kinte din hamen rahna hai qaid main  haddi kay chatakhne ki sada aa...

Sada madine main di jab basheer ne ro kar ( Ahle Haram ki Madina wapsi )

sada madine main di jab basheer ne ro kar  Hussain as qatl huway aagaye haram lut kar  kaha yeh Hazrat e Ummul baneen sa ne sun kar  mere Hussain as kay hamrah mera Ghazi as tha main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua  basheer rok lay apni zaban mat kahna  Hussain as ibn e Ali as karbala main qatl hua  mere Hussain as kay hamrah mera Ghazi as tha  aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla  main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua  tadap kay kahne laga main galat nahi kahta  rula rula kay laeeno ne unko qatl kiya  zameen e garm peh uryan pada raha lasha  aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla  main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua  Hussain as peh woh ajab waqt tha qayamat tha  utha rahe thay jo kadyal jawan ka lasha  madad kay waste unki koi na zinda tha  aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla  main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua  kaha b...

Akeli Hai Zahra (sa)

Kahan jaaye aakhir bayabaan har soo shikasta hai pehloo akeli hai Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 1. (Dar e Fatema ko jalaya hai tumne kiya waada apna bhulaya hai tumne) x2 tamaache na maaro musalmaano jaao Ali ko bulaao akeli hai Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 2. (Bayaa'n kisse jaakar karoon dard apna hai ghairon ki duniya nahi koi apna) x2 koi jaake baba se keh do ye jaakar ke le jaao aakar akeli hai Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 3. (Ae lakhte jigar ae Hasan ibne Haider ye nana ke pehlu me sone na de gar) x2 tum aa jana pehlu me so jana maa ke Baqi me yahan par akeli hai Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 4. (Shahe karbala ne kaha roke maa'n se ye mazloom bete ne mazloom maa'n se) x2 akela hoon main bhi akeli hain Zainab akele hain baba akeli hain Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 5. (Sare marg Akhtar tha Zehra ka nauha kab aaoge Mahdi kab a...

Yeh ro kay boli Sakina (sa) chahca chale aao

(Nauha) yeh ro kay boli Sakina (sa) chacha chale aao hai chane wala andhera chacha chale aao adu ne aag lagi di hamare khaimon main hai shola khaimon se uthta chacha chale aao nikale kis tarah bhaiyya ko jalte khaimon se phuphi ka bus nahi chalta chacha chale aao zameen e garm peh uryan hai lash baba ki uthane un ka janaza chacha chale aao hamare sar se laeeno ne cheen li chadar alam ka le kay pharaira chacha chalo aao dekha kay shimr bahata hai mashk se pani magar mujhe nahi deta chacha chale aao ..............Zeya (Haideri).............. YouTube Search On Zeya Jalalpuri              India 

Yeh kah rahi hai Sakina (sa) chacha chale aao

(Nauha) yeh kah rahi hai Sakina sa chacha chale aao gala hai pyas se sookha chacha chale aao labe furat gaye lene mashk main pani liye khadi hun main kooza chacha chale aao shaheed teer e sitam se hua Ali Asghar as udas ho gaya jhoola chacha chale aao bala kay dasht main ahle sitam kay narghe main akela hai mera baba chacha chale aao nazar dekh kay jalte khayam ka manzar dhadak raha hai kaleja chacha chale aao utha rahe hain shah e deen jawan ka lasha pidar ko dene sahara chacha chale aao ..............Zeya (Haideri).............. YouTube Search On Zeya Jalalpuri           India 

Bada azeem tha sadma Ali as bahut roye

BADA AZEEM THE SADMA ALI AS BAHUT ROYE BANA KAY TURBAT E ZAHRA SA ALI AS BAHUT ROYE NA ROYE PAON KAY CHALON KO DEKH KAR MAULA SHIKASTA PAHLU JO DEKHA ALI AS BAHUT ROYE NABI KAY BAAD SITAM WOH HUAYE HAIN ZAHRA SA PAR KI YAAD KAR KAY HAMESHA ALI AS BAHUT ROYE DIYA THA BABA NE ZAHRA SA KO JO HIBA NAMA WOH PURZE PURZE JO DEKHA ALI AS BAHUT ROYE AMAL WASEEYAT E BINT E RASOOL PAR KAR KAY UTHA KAY SHAB MAIN JANAZA ALI AS BAHUT ROYE JO SATH CHOD KAY DUNIYA SE CHAL BASIN ZAHRA SA PAKAD KAY APNA KALEJA ALI AS BAHUT ROYE THAY DAAG KAISE KI DARBAR SE PALATTE HE ZAEEF HO GAI ZAHRA SA ALI AS BAHUT ROYE LAGA KAY SEENE SE MAA KA HUSSAIN AS KO APNE KAFAN KA BAND JO TOOTA ALI AS BAHUT ROYE ALI AS NE QABR MAIN ZAHRA SA KO DAFN KAR TO DIYA PAH KAISE AB RAHEN ZINDA ALI AS BAHUT ROYE ZEYA WOH SUBBAT ALIYYA MASAIBUN SUN KAY HAMARE AAP KAY MAULA ALI AS BAHUT ROYE ..............Zeya (Haideri)..............

jab taaj tum sajana meri lahed peh aana

Ya Waris e Zamana as Ya Warise Zamana as Teri khushi ko bhaiyya dekhega kul zamana jab taaj tum sajana meri lahed peh aana apni musarraton main mat bahen ko bhulana jab taaj tum sajana meri lahed peh aana tere dukhon kay manzar ab tak rula rahe hain *2 din raat rote rote beete he ja rahe hain *2 tarsi hui bahen ko apni khushi dikhana jab taaj tum sajana meri lahed peh aana tujh peh nisar sare sukh kay chaman karungi *2 teri khusi main aakar main khud shagun karungi *2 khushiyon ki hasraten hain rahne bhi do gay kya na jab taaj tum sajana meri lahed peh aana roye thay jis tarah se mujh ko gale laga kar *2 bheegi hui hai ab tak mere kafan ki chadar *2 us din se ro rahi hun aakar gale lagana jab taaj tum sajana meri lahed peh aana ghaibat main dekhti hun tujhe beqar bhaiyya *2 sadiyon se kar rahi hun tera intezar bhaiyya *2 ho jab bhi teri shahi bhaiyya mujhe bulana jab taaj tum sajana meri lahed peh aana JAFAR ab is bahen ko mile do jahan ki khushiyan *2 chum...