Uthe hain do janaze aye azadaro andhere main || Anjuman jafaria rajisterd mustafabad jalalpur ||
Hain jaise dono tafseeren masayeb kay saheefe ki
hai ik karbobala ki dusri Zahra sa madine ki
Madine main jala hai Fatima Zahra (sa) ka darwaza
Sakina (sa) ka yahan sham e ghareeba'n main jala kurta
laga Zahra (sa) kay hathon peh sitamgar ka wahan durra
yahan rukh peh Sakina (sa) kay tamancha shimr e zalim ka
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
wahan rassi main Zahra (sa) ne Ali (as) ka ik gala dekha
Sakina (sa) gala tha shimr ne rassi main youn bandha
bahut mushkil Sakina (sa) kay liye tha sans ka lena
gale peh rakh liya karti thi apne hath ko dukhiya
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
gira Zahra (sa) kay pahlu par wahan jalta jo darwaza
daro deewar kay maabain pis kar rah gai Zahra (sa)
Sakina (sa) ko yahan naqe ki nangi pusht par bandha
ragad se pusht naqa ki bahut chalni hui seena
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
wahan kuch is tarah se pasliyan tooti hain Zahra (sa) ki
ba waqt gusl maula ki sada thi cheekh kar nikli
yahan pusht e Sakina (sa) ho gai thi is qadar zakhmi
ki jis dam zakhm dekhe hain to gassala tadap uththi
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
padha bint e Nabi ne marsiya subbat alaiyya ka (ًصبت علي)
Sakina (sa) yahan aina abi ka hai padha nauha ( اينا ابي)
wahan baba ki turbat kay qaree'n ja baithti Zahra (sa)
yahan sunsan jangal aur tha maqtal ka sannata
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
shahadat dekhi hai Zahra (sa) ne apne lal mohsin ki
na mil pai hai jis ko zindagi duniya main ik din bhi
Sakina (sa) ne hai dekhi lash e Asghar (as) teer se zakhmi
abhi jo ghutniyon bhi chal na paya tha ki maut aai
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
gain darbar main Zahra (sa) bhi aur nanhi Sakina (sa) bhi
hui darbar main Zahra (sa) ko unke haq se mahroomi
kaneezi kay liye darbar main mangi gai bachchi
jise sun kar tadap kay rah gaye thay sub kay sub qaidi
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
masayeb hain pade Zahra (sa) peh itne baad e paighambar
75 din bhi masooma ka jeena ho gaya doobhar
sitam itne huway hain baad e shah nanhi Sakina (sa) par
ki thode he dino main mar gai woh qait kay andar
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
bahut he apni dadi ki tarah se dukh uthaye hain
pidar se chut kay bachchi ne kahan aaram paye hain
agar aansu yateema ki kabhi aankhon main aaye hain
tamanche shimr kay bachchi ne nanhe rukh peh khaye hain
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
fida ho jayen auladen Sakina (sa) ki yateemi par
masayeb peh masayeb hain pade Zahra (sa) ki pooti par
laga rone peh tha pahra shah e wala ki beti par
bahut he pyas ki shiddat thi Ghazi (as) ki bhateeji par
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
ZAFAR tareekh ne ab tak na aisi bibiyan dekhin
madine main kabhi Zahra (sa) ki tooti pasliyan dekhin
Sakina (sa) kay gale main sham tak hai rassiyan dekhin
gale main rassiyan aur pusht par hai seliyan dekhin
uthe hain do janaz e aye azadaro andhere main
Sakina (sa) ka utha zindan main Zahra (sa) ka madine main
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
Comments
Post a Comment