Posts

Showing posts from April, 2018

Zinda Ghame Hussain (as) ka Yeh Mojza Bhi Hai

                  Qaseeda Zinda gham e Hussain (as) ka Yeh Mojza Bhi Hai Ishq e Hussain (as) dard bhi hai aur dawa bhi hai Hota hai rahmato’n ka nozool us maqam par Jis ghar main ja namaz bhi farsh e aza bhi hai Ab chahe jiske peeche chale ummat e Rasool Karbobala main Hur bhi hai aur hurmula bhi hai Naam e yazeed ho gaya duniya se be nisha’n Zinda magar Alam bhi hai aur Taziya bhi hai Woh dars gaah majlis e Shabbeer (as) hai jahan Mantiq bhi hai wasool bhi hai falsafa bhi hai Woh he pul e sirat se guzren gay jin kay pass Qura’n kay sath sath hadees e kisa bhi hai ............Zeya Abbas (Haideri)............ Youtube Search On Zeya Jalalpuri

Jashan BiBi Zainab (sa)

                              Qeta   Zamane walo’n ki qismat sanwarne wali hai Nabi kay deen ki surat nikharne wali hai Adab se apne paro’n ko bichao aye jibreel (as) Ali (as) ki beti zamee’n par utarne wali hai …………………………………………………                             QAEEDA Kargar hogi na ab koi dawa rahne do Kaam aayegi kisi ki na dua rahne do Hona hogi to yahin hogi shifa rahne do Mujh ko dahleez peh Zainab (sa) ki pada rahne do Daag matam ka chamakta hai khula rahne do Goshaye qabr main thodi si zeya rahne do Hum Hussaini hain zamane ko batane kay liye Ghar kay darwaze peh Shabbeer (as) likha rahne do .......................................................... ............Zeya Abbas (Haideri)............ Youtube ...

28 Rajab Nauha || Chut Raha Hai Nana Ka Asta'n Meri Zainab (sa)

(Nauha) Chut raha hai nana ka aastan meri Zainab (sa) Bhai ka hua dushman yeh jahan meri Zainab (sa) Tang hai zameen mujh par har taraf se nargha hai Hai ghareeb bhai par imtehan meri Zainba (sa) Jo bhi hain zamane main woh lahu kay pyase hain Mere chahne wale ab kahan meri Zainab (sa) Kah do ja ke nana se qabr main mujhe le len Bhai ko nahi milti hai aman meri Zainab (sa) Kah rahi hai majboori chod dun watan apna Be kasi peh roye ga yeh makan meri Zainab (sa) Aa ke rooh tadpe gi dekh kar kay weerani Maa ka ab ujadta hai gulsitan meri Zainab (sa) Kaise chain payegi chut kay Fatima Sughra (sa) Yaad jab ki aayega be zaban meri Zainab (sa) Deen e haq ki nusrat ko karbala kay jangal main Khoon se nahaye ga karwan meri Zainab (sa) Bhai ka safar tere lazmi hai aye khahar Al qoma peh thahre ga kaarwan meri Zainab (sa) Baad mere ahle keen zulm tum peh dhayengay Bazuon main bandhe gay resman meri Zainab (sa) Chain se gharon main hain sub aman ki manzil main Jhelna tujhe ho...

28 Rajab Nauha | Nana Tera Hussain (as) Madina Hai Chodta

(Nauha) Qabr Nabi peh ro kay Shabbeer (as) ne kaha  Nana tera Hussin (as) Madina hai chodta  Pardes main main jata hun Nana dua karo  Aafat na mujh peh aaye ki Nana dua karo  Jata hun pure kunbe ko le kar main karbala  Nana safar main jata hai yeh tera dil ruba  karbobala ko jata hai yeh tera dil ruba  basti wahin basayega yeh tera nawasa  Bachpan main jo kiya tha woh wada nibhaunga  Deen e khuda ko apna sar dekar bachaunga  Allah ka main maqtal main sajda bachaunga  Nana tumhari ummat ne mujh ko sataya hai  Nana tumhari ummat ne mujh ko rulaya hai  Bus is liye chodta main apna madina Qabr e Nabi peh bain yeh Shabbeer (as) ne kiya  Ab kaun jo jalayega is qabr par diya  Aye Nana ja raha hun main ab soway karbala  Karbobala main ujde ga yeh tera gulsita'n  Kya kya padengi aafate'n kaise karun bayan  pardes main nigahba'n hai Nana mera khuda  Sar ko kataunga par main ba...

25 Rajab Shahadat Imam Moosa Kazim (as) Salam Imam Moosa Kazim (as)

Dam Todte Hain Khak Peh Kazim (as) Hussainiyo Barpa Hai Ahlebait (as) Main Matam Hussainiyo Jee Bhar Kay Zalimo'n Ne Sataya Imam (as) Ko Haroon Ne Hai Zahr Dilaya Imam (as) Ko Seesa Bhi Haye Garam Pilaya Imam (as) ko Dam Todte Hain Khak Peh Kazim (as) Hussainiyo Barpa Hai Ahlebait (as) Main Matam Hussainiyo Kazim (as) Ko Haye Chain Se Jeene Nahi Diya Zahr e Sitam Hai De Diya Tadapne Nahi Diya Waqt e Akheer Pani Kisi Ne Nahi Diya Dam Todte Hain Khak Peh Kazim (as) Hussainiyo Barpa Hai Ahlebait (as) Main Matam Hussainiyo Ab Ho Gaye Yateem Raza e Ghareeb Haye Be Ghusl Be Kafan Hai Imam e  (as) Ghareeb Haye Mayyat Rakhi Hui Hai Pul Kay Qareeb Haye Dam Todte Hain Khak Peh Kazim (as) Hussainiyo Barpa Hai Ahlebait (as) Main Matam Hussainiyo Mayyat Rakhi Hui Hai Nahi Shor o Shain Hai Lashe Kay Gird Bus Yahi Zahra (sa) Kay Bain Hai Misl e Hussain (as) Yeh Bhi Mere Dil Ka Chain Hai Dam Todte Hain Khak Peh Kazim (as) Hussainiyo Barpa Hai Ahlebait (as) Main M...

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

(Salam) Nana teri Zainab (sa) lut kay aagai hai Darbaron main bazaron main tere deen ki aan bacha gai hai Yeh neel rasan kay shanon par, Yeh khak e bala mere balon par Nana meri hasti khak bana gai hai Nana teri…………………………….. Halqe jo pade hai aankhon main Khoon roti rahi hun rahoon main Nana ab aankh meri pathra gai hai Nana teri……………………………….... Yeh khoon kay cheente chadar par Lipti thi main lashe Akbar (as) par Nana Ik barchi dil mera kha gai hai Nana teri………………………………. Kanton peh kabhi angaron main Main chal kay gaye bazaron main Nana yun mujh peh zaeefi cha gai hai Nana teri……………………………… Ik rassi main 12 thay gale Bazu bhi pase gardan thay bandhe Nana ummat yeh qamat dha gai hai Nana teri…………………………………… Need aati thi na jis bachchi ko Kahti thi phuphi ab ghar ko chalo Nana zijdan ki zameen use bha gai hai Nana teri……………………………… Do lal fida bhai peh kiye Bhai peh rida bhi ki sadq e Nana Zainab (sa) ki rida kaam aagai hai Nana teri..............

Salam Imam e Ali Reza (as) Aye ghareebul watan ya imam e Raza as

Aye ghareebul watan ya imam e Raza as waris e bekafan ya imam e Raza as hai sitam zahr ka dono sah kar gaye bin yaqeen ladle dono Zahra sa kay thay ik imam e Hasan as ya imam e Raza as shahe karbobala se yeh nisbat teri un kay lashe peh bhi tere lashe peh bhi ro na pai bahen ya imam e Raza as tere baba ka taboot uth na saka pul peh baghdad kay lasha rakha raha tha kafan pairahan ya imam e Raza jo chubhan tere seene main thi zahr ki ab bhi mahsoos karte hain woh matmi apne dil main chubhan ya imam e Raza as aye bin e sayyada aye bin e murtaza mushkilon main hamen hai tera aasra badshah e zaman ya imam e Raza as haq kay ajdad ko tujh se cheena gaya hai madine tera tujh se chudwa diya aye aseer e mehan ya imam e Raza as janyen salman o meesam khorasan main tere rauz e peh ja kar yeh nauha padhen de do izn e sukhan ya imam e Raza as

Mili Rehai to Abid yeh kaam kar kay chale

(Salam) Mili rehai to Abid (as) yeh kaam kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Yeh ahle sham se bole agar na ho zahmat Diya jala diya karna agar mile fursat Bahen kay waste yeh ehtemam kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Dua jo karti thi ro ro kay woh bhi din aaye Woh jis kay dil main tha arman yeh watan jaye Use hawalaye zindan e sham kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Sakina (sa) sham kay zinda'n main rah gai tanha Chale aseer riha ho kay suway karbobala Yeh mareka bhi to Abid (as) tamam kar chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Watan bhi ja kay yeh royengay shah kay gham main Ab inki umr basar hogi shah kay matam main Jo zeest apni 72 kay naam kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Woh kaise bhulenagy jo lag gaye judai kay daagh Jalaye qabr peh ro ro kay aanso'n kay charagh Dilo'n kay sabr ki kh...

Jo chain se soti thi bahut royengi aankhen

(Salam) Jo chain se soti thi bahut royengi aankhe'n Shah karte huway nauha chale jate thay run ko Yeh kis ne kiya qatl mere tashna dahen ko Abbas (as) teri yaad jo aayegi bahen ko Ashkon…….. ki jagah khoon se munh dhoyengi aankhe'n Abbas (as) kay marne peh thay Zainab (sa) kay yeh nale Aata hai tera bhai kamar apni jhukaye Ghazi (as) kay koi dast e bureeda to utha le Warna……… jo basarat hai unhen khoyengi aankhe'n Woh run main Alamdar tere hathon ka katna Woh teer e sitamgar se mashkize ka chidna Woh mashk se Abbas (as) tere khoon ka bahna In bar……….manazir ko sada dhoyengi aankhe'n Zahra o (sa) Ali (as) Ahmad e (s.a.w.w.) mukhtar se pucho Kulsoom (sa) se ya Zainab e (sa) lachar se pucho Zanjeer main jakde huway beemar se pucho Zinda'n……..main kisi tarah bhala soyengi aankhe'n ............Zeya Abbas Haideri............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri India https://www.youtube.com/w...

Salam BiBi Fatima Zahra (sa) bada azeem tha sadma Ali (as) bahut roye

BADA AZEEM THE SADMA ALI AS BAHUT ROYE BANA KAY TURBAT E ZAHRA SA ALI AS BAHUT ROYE NA ROYE PAON KAY CHALON KO DEKH KAR MAULA SHIKASTA PAHLU JO DEKHA ALI AS BAHUT ROYE NABI KAY BAAD SITAM WOH HUAYE HAIN ZAHRA SA PAR KI YAAD KAR KAY HAMESHA ALI AS BAHUT ROYE DIYA THA BABA NE ZAHRA SA KO JO HIBA NAMA WOH PURZE PURZE JO DEKHA ALI AS BAHUT ROYE AMAL WASEEYAT E BINT E RASOOL PAR KAR KAY UTHA KAY SHAB MAIN JANAZA ALI AS BAHUT ROYE JO SATH CHOD KAY DUNIYA SE CHAL BASIN ZAHRA SA PAKAD KAY APNA KALEJA ALI AS BAHUT ROYE THAY DAAG KAISE KI DARBAR SE PALATTE HE ZAEEF HO GAI ZAHRA SA ALI AS BAHUT ROYE LAGA KAY SEENE SE MAA KA HUSSAIN AS KO APNE KAFAN KA BAND JO TOOTA ALI AS BAHUT ROYE ALI AS NE QABR MAIN ZAHRA SA KO DAFN KAR TO DIYA PAH KAISE AB RAHEN ZINDA ALI AS BAHUT ROYE ZEYA WOH SUBBAT ALIYYA MASAIBUN SUN KAY HAMARE AAP KAY MAULA ALI AS BAHUT ROYE ..

Salam BiBi Zainab (sa) ll Aai hai sham kay zindan se chut kar Zainab sa

(Salam) Qabr peh bhai kahti thi yeh ro kar Zainab sa Aai hai sham kay zindan se chut kar Zainab sa Bekafan lash padi thi tumhari maidan main Yeh na samjho ki bahen bhool gai zindan main Roti rahti thi isi yaad main muztar Zainab sa Aap kay baad bade zulmo sitam hum peh huway Maalo asbab lutay khaime jale qaid huway Karbala se gai ta sham khule sar Zainab sa Mera beemar agar goaf se ruk jata kahin Pusht e beemar main naizon ko chubhate thay laeen Bhaiyya rah jati thi us waqt tadap kar Zainab sa 1 choti si rasan main thay bandhe sub qaidi Sath he sath main gardan thi bandhi bachchi ki Har qadam khati thi taqdeer ki thokar Zainab sa Kya sunaun dil e muztar ka fasana bhaiyya Chil gaya sakht rasan se mera shana bhaiyya Is tarah bandhi thi rassi se jakad kar Zainab sa Karti thi kham to sokoon pate thay bachche mere Seedhi hone se gale bachchon kay kas jate thay Is liye chalti thi bazaar main jhuk kar Zainab sa ............Zeya Abbas Haideri.........

MERE HUSSAIN (as) KA JO BHI GHULAM HO JAAYE

SALAM YA HUSSAIN (AS)  MERE HUSSAIN KA JO BHI GHULAM HO JAAYE WO HUR KI TARAH SE AALI MAQAAM HO JAAY JO AAYE IN K MUQAABIL  BANAY Woh SHIMR'O YAZED  JISAY YE CHAHAIN ALAAIHIS SALAAM HO JAAYE WAHAN KI MITTI BHI HOTI HAI LAYEQ E SAJDAH  HUSSAIN AS AAP KA JIS JA QAYAM HO JAYE  MAIN ZIKR E SHAH SE IK LAMHA GAR RAHUN GHAFIL  TO MUJH KO SANS BHI LENA HARAM HO JAYE  KISI KI KAR DEN AGAR PARWARISH ABU TALIB  TO WOH RASOOL BANE YA IMAM HO JAYE  HALAL KOI AMAL BHI RAHE NA DUNIYA MAIN  AGAR HUSSAIN AS PEH RONA HARAM HO JAYE  KHULOOS E DIL SE JO ROYEN HUSSAIN AS KAY GHAM MAIN  TO US PEH NAAR E JAHANNUM HARAM HO JAYE  BULANE MUJH KO ZEYARAT KAY WASTE MAULA  KI ZAYREEN MAIN MERA BHI NAAM HO JAYE YOUN HE SUNATA RAHE MIDHAT E HUSSAIN AS SOHAIL  YEH ZINDAGI KISI SURAT TAMAM HO JAYE  

Nauha BiBi Sakina (sa) Zindan kay andhere main Sakina (sa) ka hai nauha

Zind'n kay andhere main Sakina (sa) ka hai nauha  ghut ghut kay mari jati hun faryaad hai baba  khaye hain tamanche mere rukhsar hai neele  is aalam e ghurabat main, nahi koi khudara  ab tak nahi soi main mera haal to dekho  ik baar mujhe aake, sula jaiye baba  zanjeero'n main jakda hai mere Abid e beemar  hum Aale Nabi par yeh, sitam dhaya hai kaisa  main dekh lun jee bhar kay chehre ko tumhare  aajao mere dam yeh, nikal jaye na baba  kab hongay riha kab hum watan jayengay ghar ko  kab tujh se milungi main, bahen Fatima Sughra (sa)  roti hun to rone nehi dete yeh sitamgar  be jurm khata hum ko, ummat ne sataya  KAMI o ZEYA mil kay sare farsh e aza par  ik baap ko beti ka, hum dete hain pursa   Poet: Kamran (Kami) From Pakistan  ............Zeya Abbas (Haideri)............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri                  ...

Maa'n ll Maut ki aagosh main jab thak kay so jati hai maa'n

(Salam) Maut ki aagosh main jab thak kay so jati hai maa’n Tab kahin ja kar RAZA thoda sukoo'n pati hai maa’n Fikr main bachcho'n kay kuch is tarah ghul jati hai maa’n Naujawa'n hote huway budhi nazar aati hai maa’n Apne pahlu main lita kar roz totay ki tarah 1.12.5.14 hum ko ratwati hai maa’n Ghar se jab pardesh jata hai koi noor e nazar Hath main quran le kar dar peh aa jati hai maa’n Chahe'n hum khushiyo'n main maa'n ko bhool jaye'n dosto Jab museebat sar peh padti hai to yaad aati hai maa’n Yaad aata hai shab e aashur ka kadyal jawa'n Jab kabhi uljhi hui zulfo'n ko suljhati hai maa’n Pyar kahte hain kise aur mamta kya cheez hai Koi un bachcho'n se puche jinki mar jati hai maa’n Apne gham ko bhool kar rote hain jo Shabbeer (as) ko un kay ashko'n kay liye jannat se aa jati hai maa'n Shukriya ho he nahi sakta kabhi maa ka ada Marte marte bhi dua jeene ki de jati hai maa’n Poet: Janab RAZA Sirs...

Ali (as) Ka Naam Leta Hun ll Manqabat Imam Ali (as)

                            (Manqabat) Pade mushkil koi mujh par Ali (as) ka naam leta hun Wazeefa hai mera din bhar Ali (as) ka naam leta hun Ali (as) se ishq dekha daar par meesum yeh kahte thay Zaba'n par hai rawan khanjar Ali (as) ka naam leta hun Yeh kah kay Hazrat e Abbas (as) daude nahr ki janib Koi ab rok le aakar Ali (as) ka naam leta hun Safeena dekhiye manzil ki janib hai rawa'n mera Nahi toofan se koi dar Ali (as) ka naam leta hun Wahi to qabr main aur hashr main mujh ko bachayega Jabhi to saqiye kausar Ali (as) ka naam leta hun Ho manzil koi bhi KAMI ZEYA har ik qadam par main Khuda ka hai karam mujh par Ali (as) ka naam leta hun ............Zeya Abbas Haideri............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri                    India  https://www.youtube.com/watch?v=Ya97KYO5oUE

Manqabat Imam Ali Naqi (as)

Manqabat Imam E Ali Naqi (as)  Har soo fiza yeh dekhiye mahki hui hai aaj Maula Naqi (as) kay jashn ki mahfil saji hai aaj Hur o malak bhi khuld se aaye hain dosto Ghar main Taqi (as) kay aamad e maula Naqi (as)  hai aaj Rahamt baras rahi hai khuda ki jahan main Salle Ala kay nagme hawa ga rahi hai aaj Aale Nabi he hain faqat woh noor e kibriya In kay siwa jahan main kahin raushani hai aaj Zahra (sa) tumhare bachchon ka mujh peh hai yeh karam Kitni mujhe zamane main izzat mili hai aaj Hum gham manaye ya  khushi hairat ki baat hai Kyon aag munkiron kay dilon main lagi hai aaj Aale Nabi se dushmani rakhe jo dil main bughz Usse bada jahan main koi lanati hai aaj Sajd e main sar Hussain (as) ka gardan peh taigh hai Aisi  namaz phir kahin dekhi gai hai aaj Kami badi Zeya ko aai hai yeh pasand Jo manqabat imam ki tu ne likhi hai aaj ............Zeya Abbas Haideri............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri     ...

Manqabat Imam Ali Ibn e Abu Talib (as)

          (Manqabat) Janasheen e Mustafa noor e jali Khanaye kaba main aaye hain Ali (as) Aur kya hoga ata mujh ko sharaf Kar raha hun aap ki main naukari Zikr maula aap ka karta rahu'n You'n guzar jaye meri yeh zindagi Mustafa kahte thay yeh ashab se Haq jahan par hai wahan hoga Ali (as) Kyon bhatakte phirte ho bistar liye Maan jao chod do zidd sheikh jii Aamade maual kay yeh aasar hain Do jahan main sub manate hain khushi Kaise girta ya Ali (as) jab kah diya Raste main jab kahi'n thokar lagi Kami Lab peh hai Zeya Kay yeh dua Hum kare'n mil kar sada madhe Ali (as)  ............Zeya Abbas Haideri............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri                    India 

Manqabat Imam Ali (as) ll Murtaza ki aamad ka jashan hum manate hain

                    (Manqabat) Murtaza ki aamad ka jashan hum manate hain Aaj hum sare mimber manqabat sunate hain Woh kabhi na gham dekhe yeh dua main karta hun zikr e murtaza ki jo mahfilen sajate hain Ya Ali (as) madad kah kar jab kabhi pukara hai Mushkilo'n se woh hum ko dekhiye bachate hain Hum khushi manye'n gham jab kabhi bhi aye waiz Kya sabab hai kyon apna aap dil jalate hain Jo Ali (as) ka munkir hai chehra khud bataye ga Is liye to hum nara haideri lagate hain Kamyabi choome gi dekhna qadam uske Jo Ali (as) ki seerat par zindagi bitate hain Hum faqat zamee'n wale bazm main nahi shamil In ki mahfilo'n main khud arsh wale aate hain Kami o Zeya hum ko kash yeh sada aaye Chaliye dono ko maula rauze par bulate hain ............Zeya Abbas Haideri............ YouTube Search On Zeya Jalalpuri                    India  https://www.youtu...