Manqabat Imam Ali Naqi (as)

Manqabat Imam E Ali Naqi (as) 

Har soo fiza yeh dekhiye mahki hui hai aaj
Maula Naqi (as) kay jashn ki mahfil saji hai aaj

Hur o malak bhi khuld se aaye hain dosto
Ghar main Taqi (as) kay aamad e maula Naqi (as)  hai aaj

Rahamt baras rahi hai khuda ki jahan main
Salle Ala kay nagme hawa ga rahi hai aaj

Aale Nabi he hain faqat woh noor e kibriya
In kay siwa jahan main kahin raushani hai aaj

Zahra (sa) tumhare bachchon ka mujh peh hai yeh karam
Kitni mujhe zamane main izzat mili hai aaj

Hum gham manaye ya  khushi hairat ki baat hai
Kyon aag munkiron kay dilon main lagi hai aaj

Aale Nabi se dushmani rakhe jo dil main bughz
Usse bada jahan main koi lanati hai aaj

Sajd e main sar Hussain (as) ka gardan peh taigh hai
Aisi  namaz phir kahin dekhi gai hai aaj

Kami badi Zeya ko aai hai yeh pasand
Jo manqabat imam ki tu ne likhi hai aaj

............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                     India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida