Mili Rehai to Abid yeh kaam kar kay chale

(Salam)
Mili rehai to Abid (as) yeh kaam kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Yeh ahle sham se bole agar na ho zahmat Diya jala diya karna agar mile fursat Bahen kay waste yeh ehtemam kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Dua jo karti thi ro ro kay woh bhi din aaye Woh jis kay dil main tha arman yeh watan jaye Use hawalaye zindan e sham kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Sakina (sa) sham kay zinda'n main rah gai tanha Chale aseer riha ho kay suway karbobala Yeh mareka bhi to Abid (as) tamam kar chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Watan bhi ja kay yeh royengay shah kay gham main Ab inki umr basar hogi shah kay matam main Jo zeest apni 72 kay naam kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Woh kaise bhulenagy jo lag gaye judai kay daagh Jalaye qabr peh ro ro kay aanso'n kay charagh Dilo'n kay sabr ki khatir yeh kaam kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale Koi hamara mara to kaha Hussain (as) Hussain (as) Aza ka farsh bicha to kaha Hussain (as) Hussain (as) Yeh intezam bhi chauthe imam kar kay chale Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale ZAFAR sada yahi aati thi aye mere baba Sabhi watan gaye main qaid main rahi tanha Lahed se Ahle haram jab salam kar kay chale
Sub aansu qabr e Sakina (sa) kay naam kar kay chale

Poet: Janab ZAFAR Sahab

............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida