Manqabat Imam Ali Ibn e Abu Talib (as)

          (Manqabat)
Janasheen e Mustafa noor e jali
Khanaye kaba main aaye hain Ali (as)

Aur kya hoga ata mujh ko sharaf
Kar raha hun aap ki main naukari

Zikr maula aap ka karta rahu'n
You'n guzar jaye meri yeh zindagi

Mustafa kahte thay yeh ashab se
Haq jahan par hai wahan hoga Ali (as)

Kyon bhatakte phirte ho bistar liye
Maan jao chod do zidd sheikh jii

Aamade maual kay yeh aasar hain
Do jahan main sub manate hain khushi

Kaise girta ya Ali (as) jab kah diya
Raste main jab kahi'n thokar lagi

Kami Lab peh hai Zeya Kay yeh dua
Hum kare'n mil kar sada madhe Ali (as) 

............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                  India 


Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida