Nauha BiBi Sakina (sa) Zindan kay andhere main Sakina (sa) ka hai nauha

Zind'n kay andhere main Sakina (sa) ka hai nauha 
ghut ghut kay mari jati hun faryaad hai baba 

khaye hain tamanche mere rukhsar hai neele 
is aalam e ghurabat main, nahi koi khudara 

ab tak nahi soi main mera haal to dekho 
ik baar mujhe aake, sula jaiye baba 

zanjeero'n main jakda hai mere Abid e beemar 
hum Aale Nabi par yeh, sitam dhaya hai kaisa 

main dekh lun jee bhar kay chehre ko tumhare 
aajao mere dam yeh, nikal jaye na baba 

kab hongay riha kab hum watan jayengay ghar ko 
kab tujh se milungi main, bahen Fatima Sughra (sa) 

roti hun to rone nehi dete yeh sitamgar 
be jurm khata hum ko, ummat ne sataya 

KAMI o ZEYA mil kay sare farsh e aza par 
ik baap ko beti ka, hum dete hain pursa  

Poet: Kamran (Kami) From Pakistan 

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                  India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida