Manqabat Imam Ali (as) ll Murtaza ki aamad ka jashan hum manate hain

                    (Manqabat)
Murtaza ki aamad ka jashan hum manate hain
Aaj hum sare mimber manqabat sunate hain

Woh kabhi na gham dekhe yeh dua main karta hun
zikr e murtaza ki jo mahfilen sajate hain

Ya Ali (as) madad kah kar jab kabhi pukara hai
Mushkilo'n se woh hum ko dekhiye bachate hain

Hum khushi manye'n gham jab kabhi bhi aye waiz
Kya sabab hai kyon apna aap dil jalate hain

Jo Ali (as) ka munkir hai chehra khud bataye ga
Is liye to hum nara haideri lagate hain

Kamyabi choome gi dekhna qadam uske
Jo Ali (as) ki seerat par zindagi bitate hain

Hum faqat zamee'n wale bazm main nahi shamil
In ki mahfilo'n main khud arsh wale aate hain

Kami o Zeya hum ko kash yeh sada aaye
Chaliye dono ko maula rauze par bulate hain

............Zeya Abbas Haideri............

YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                  India 

https://www.youtube.com/watch?v=sdx0KErEgsc 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida