Zinda Ghame Hussain (as) ka Yeh Mojza Bhi Hai



                 Qaseeda
Zinda gham e Hussain (as) ka Yeh Mojza Bhi Hai
Ishq e Hussain (as) dard bhi hai aur dawa bhi hai

Hota hai rahmato’n ka nozool us maqam par
Jis ghar main ja namaz bhi farsh e aza bhi hai

Ab chahe jiske peeche chale ummat e Rasool
Karbobala main Hur bhi hai aur hurmula bhi hai

Naam e yazeed ho gaya duniya se be nisha’n
Zinda magar Alam bhi hai aur Taziya bhi hai

Woh dars gaah majlis e Shabbeer (as) hai jahan
Mantiq bhi hai wasool bhi hai falsafa bhi hai


Woh he pul e sirat se guzren gay jin kay pass
Qura’n kay sath sath hadees e kisa bhi hai

............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida