Jashan BiBi Zainab (sa)
Qeta
Zamane walo’n ki qismat sanwarne wali hai
Nabi kay deen ki surat nikharne wali hai
Adab se apne paro’n ko bichao aye jibreel (as)
Ali (as) ki beti zamee’n par utarne wali hai
…………………………………………………
QAEEDA
Kargar hogi na ab koi dawa rahne do
Kaam aayegi kisi ki na dua rahne do
Hona hogi to yahin hogi shifa rahne do
Mujh ko dahleez peh Zainab (sa) ki pada rahne do
Daag matam ka chamakta hai khula rahne do
Goshaye qabr main thodi si zeya rahne do
Hum Hussaini hain zamane ko batane kay liye
Ghar kay darwaze peh Shabbeer (as) likha rahne do
..........................................................
............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment