28 Rajab Nauha | Nana Tera Hussain (as) Madina Hai Chodta

(Nauha)
Qabr Nabi peh ro kay Shabbeer (as) ne kaha 
Nana tera Hussin (as) Madina hai chodta 

Pardes main main jata hun Nana dua karo 
Aafat na mujh peh aaye ki Nana dua karo 
Jata hun pure kunbe ko le kar main karbala 

Nana safar main jata hai yeh tera dil ruba 
karbobala ko jata hai yeh tera dil ruba 
basti wahin basayega yeh tera nawasa 

Bachpan main jo kiya tha woh wada nibhaunga 
Deen e khuda ko apna sar dekar bachaunga 
Allah ka main maqtal main sajda bachaunga 

Nana tumhari ummat ne mujh ko sataya hai 
Nana tumhari ummat ne mujh ko rulaya hai 
Bus is liye chodta main apna madina

Qabr e Nabi peh bain yeh Shabbeer (as) ne kiya 
Ab kaun jo jalayega is qabr par diya 
Aye Nana ja raha hun main ab soway karbala 

Karbobala main ujde ga yeh tera gulsita'n 
Kya kya padengi aafate'n kaise karun bayan 
pardes main nigahba'n hai Nana mera khuda 

Sar ko kataunga par main baiyat na karunga 
Bach jaye jis se deen main woh kaam karunga 
chahe meri bahen ki kyon chin jaye na rida 

TABRAIZ shah yeh kahte thay qabr e Rasool par 
Pardes se na aaunga Nana main laut kar 
Nana meri pardes main hai basti karbala 

Poet: Janab Tabraiz Jalalpuri 

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                      India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida