28 Rajab Nauha || Chut Raha Hai Nana Ka Asta'n Meri Zainab (sa)
(Nauha)
Chut raha hai nana ka aastan meri Zainab (sa)
Bhai ka hua dushman yeh jahan meri Zainab (sa)
Tang hai zameen mujh par har taraf se nargha hai
Hai ghareeb bhai par imtehan meri Zainba (sa)
Jo bhi hain zamane main woh lahu kay pyase hain
Mere chahne wale ab kahan meri Zainab (sa)
Kah do ja ke nana se qabr main mujhe le len
Bhai ko nahi milti hai aman meri Zainab (sa)
Kah rahi hai majboori chod dun watan apna
Be kasi peh roye ga yeh makan meri Zainab (sa)
Aa ke rooh tadpe gi dekh kar kay weerani
Maa ka ab ujadta hai gulsitan meri Zainab (sa)
Kaise chain payegi chut kay Fatima Sughra (sa)
Yaad jab ki aayega be zaban meri Zainab (sa)
Deen e haq ki nusrat ko karbala kay jangal main
Khoon se nahaye ga karwan meri Zainab (sa)
Bhai ka safar tere lazmi hai aye khahar
Al qoma peh thahre ga kaarwan meri Zainab (sa)
Baad mere ahle keen zulm tum peh dhayengay
Bazuon main bandhe gay resman meri Zainab (sa)
Chain se gharon main hain sub aman ki manzil main
Jhelna tujhe hogi sakhtiyan meri Zainab (sa)
Shah safar ka pas manzar kah kay chup huway SAGHAR
Main hun haq ki manzil par shadman meri Zainab (sa)
Poet: Janab Saghar Sahab
............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment