Maa'n ll Maut ki aagosh main jab thak kay so jati hai maa'n

(Salam)
Maut ki aagosh main jab thak kay so jati hai maa’n Tab kahin ja kar RAZA thoda sukoo'n pati hai maa’n Fikr main bachcho'n kay kuch is tarah ghul jati hai maa’n Naujawa'n hote huway budhi nazar aati hai maa’n Apne pahlu main lita kar roz totay ki tarah 1.12.5.14 hum ko ratwati hai maa’n Ghar se jab pardesh jata hai koi noor e nazar Hath main quran le kar dar peh aa jati hai maa’n Chahe'n hum khushiyo'n main maa'n ko bhool jaye'n dosto Jab museebat sar peh padti hai to yaad aati hai maa’n Yaad aata hai shab e aashur ka kadyal jawa'n Jab kabhi uljhi hui zulfo'n ko suljhati hai maa’n Pyar kahte hain kise aur mamta kya cheez hai Koi un bachcho'n se puche jinki mar jati hai maa’n
Apne gham ko bhool kar rote hain jo Shabbeer (as) ko
un kay ashko'n kay liye jannat se aa jati hai maa'n
Shukriya ho he nahi sakta kabhi maa ka ada Marte marte bhi dua jeene ki de jati hai maa’n

Poet: Janab RAZA Sirswi

............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida