Sada madine main di jab basheer ne ro kar ( Ahle Haram ki Madina wapsi )

sada madine main di jab basheer ne ro kar 
Hussain as qatl huway aagaye haram lut kar 
kaha yeh Hazrat e Ummul baneen sa ne sun kar 
mere Hussain as kay hamrah mera Ghazi as tha
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

basheer rok lay apni zaban mat kahna 
Hussain as ibn e Ali as karbala main qatl hua 
mere Hussain as kay hamrah mera Ghazi as tha 
aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla 
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

tadap kay kahne laga main galat nahi kahta 
rula rula kay laeeno ne unko qatl kiya 
zameen e garm peh uryan pada raha lasha 
aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla 
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

Hussain as peh woh ajab waqt tha qayamat tha 
utha rahe thay jo kadyal jawan ka lasha 
madad kay waste unki koi na zinda tha 
aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla 
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

kaha basheer ne ro kar yahi kholasa hai 
watan ko laut kay jo qafela yeh aaya hai
na sheer khar hai is main na ab Sakina sa hai 
aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla 
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

yaqeen na aaye tumhen dekh lo zara ja kar 
khade hain Ahle haram sub madine kay bahar 
safed baal hai jiska hai shah ki khahar 
aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla 
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

tadap kay us ghadi ummul baneen ne pucha 
mere Hussain as jab cut raha tha sookha gala 
bata basheer kay Abbas as tha kahan mera 
aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla 
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

qasam woh kha kay gaya tha Nabi kay rauz e par 
na aane dunga museebat koi bhi aaqa par 
isi liye nahi aata yaqeen yeh sun kar 
aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla 
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

bataon kaise main Abbas as run main qatl hua 
kanare nahr kay pahle to dono shana kata 
phir uske baad main Ghazi as kay sar peh gurz laga 
aye bibi apni zaban se kaho na yeh jumla 
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

yeh sun kay malne lagi apne hath ko dukhiya 
kaha basheer Ne ZAHID  yaqeen mujh ko hua 
Hussain as qatl huway qaid hui aale eba 
na ab kahungi main apni zaban se yeh jumla 
main kaise maan lun mera Hussain as qatl hua 

..............Zeya (Haideri)..............

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida