jab taaj tum sajana meri lahed peh aana

Ya Waris e Zamana as Ya Warise Zamana as

Teri khushi ko bhaiyya dekhega kul zamana
jab taaj tum sajana meri lahed peh aana
apni musarraton main mat bahen ko bhulana
jab taaj tum sajana meri lahed peh aana

tere dukhon kay manzar ab tak rula rahe hain *2
din raat rote rote beete he ja rahe hain *2
tarsi hui bahen ko apni khushi dikhana
jab taaj tum sajana meri lahed peh aana

tujh peh nisar sare sukh kay chaman karungi *2
teri khusi main aakar main khud shagun karungi *2
khushiyon ki hasraten hain rahne bhi do gay kya na
jab taaj tum sajana meri lahed peh aana

roye thay jis tarah se mujh ko gale laga kar *2
bheegi hui hai ab tak mere kafan ki chadar *2
us din se ro rahi hun aakar gale lagana
jab taaj tum sajana meri lahed peh aana

ghaibat main dekhti hun tujhe beqar bhaiyya *2
sadiyon se kar rahi hun tera intezar bhaiyya *2
ho jab bhi teri shahi bhaiyya mujhe bulana
jab taaj tum sajana meri lahed peh aana

JAFAR ab is bahen ko mile do jahan ki khushiyan *2
chume qadam hamesha kauno makan ki khushiyan *2
ab tak jo kah rahi hai mere aake gham bhulana
jab taaj tum sajana meri lahed peh aana

Poet: Janab Jafar Sahab

..............Zeya (Haideri)..............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                  India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida