Salam BiBi Sakina (sa) kya Sakina sa ko bhool payengay
Jab chale run ko shah e karbobala
Shor khaimon main tha qayamat ka
Shah ne beti ko goad main jo liya
Usne ro kar pidar se yeh pucha
Baba itna mujhe batayen gay
Kya Sakina(sa) ko bhool payen gay
Is qadar aap ka hai khushk gala
Aah bharne ka hausla na raha
Kis tarah loriyan sunayen gay
Kya Sakina (sa)…………………………
Apne jazbaat kar liye qabu
Aap ne zabt kar liye aansu
Zakhm e dil kis tarah chupayen gay
Kya Sakina (sa)……………………………..
Aakhri baar dekh lun chahra
Mujh ko jane hai kyon yaqeen baba
Aap ab laut kar na aayen gay
Kya Sakina (sa)………………………………
Koi baqi nahi raha baba
Aap khud ja kay laye hain lasha
Apni khatir kise bulayen gay
Kya Sakina(sa)……………………………….
............Zeya Abbas (Haideri)............
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment