Akeli Hai Zahra (sa)

Kahan jaaye aakhir bayabaan har soo shikasta hai pehloo akeli hai Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 1. (Dar e Fatema ko jalaya hai tumne kiya waada apna bhulaya hai tumne) x2 tamaache na maaro musalmaano jaao Ali ko bulaao akeli hai Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 2. (Bayaa'n kisse jaakar karoon dard apna hai ghairon ki duniya nahi koi apna) x2 koi jaake baba se keh do ye jaakar ke le jaao aakar akeli hai Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 3. (Ae lakhte jigar ae Hasan ibne Haider ye nana ke pehlu me sone na de gar) x2 tum aa jana pehlu me so jana maa ke Baqi me yahan par akeli hai Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 4. (Shahe karbala ne kaha roke maa'n se ye mazloom bete ne mazloom maa'n se) x2 akela hoon main bhi akeli hain Zainab akele hain baba akeli hain Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra) 5. (Sare marg Akhtar tha Zehra ka nauha kab aaoge Mahdi kab aaoge beta) x2 Khuda ke liye ab ye parda hata do Chale aao aao akeli hai Zehra (Rone pe pehra masayab ka sehra akeli hai Zehra)

..............Zeya (Haideri)..............

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida