Salam Maula Ali (as) Haye Kohraam Hua

             Salam Maula Ali (as) 
21 Ramadan 40 Hijri Shahadat Imam Ali Ibn e Abi Talib (as)

Jab taigh e bin e muljim Haider (as)  kay chali sar par
Haye kohraam hua
Kya waar shaqi ka tha tar khoo'n main huway Haider (as)
Haye kohraam hua

Kufe ki fiza hain nauha gar
Sajde main huway zakhmi Haider (as)
Ghash kha kay girin Zainab (sa)
Yeh kah kay mere baba
Haye kohraam hua

Zahra (sa) kay yateemo'n par kaisi
Tooti hai qayamat ki yeh ghadi
Shabbar (as) kay gale lag kar Shabbeer (as) kare girya
Haye kohraam hua

Kyon rozedaar peh zulm kiya
Tu ne bin e muljim yeh to bata
Ik pal kay liye tujh ko
Kya raham nahi aaya
Haye kohraam hua

Abbas (as) se bole Haider (as) yeh
Na ro mere dil kay tukde
Tu mere alamdar e lashkar hai mere beta
Haye kohraam hua

19 (Unneeswin)  shab jo aai hai
Zainab (as) peh yateemi chayi hai
Ummat ne diya kaisa
Yeh ajr risalat ka
Haye kohraam hua

Duniya main nahi dekha ab tak
Qatil ko pilaye jo sharbat
Kya shaan kareemi hai
Aisa tha mera maula
Haye kohraam hua

Kartin hain azane'n bhi nauha
Masjid ka sahen hai farsh e aza
Sar peeto karo matam
Hasnain (as) kay baba ka
Haye kohraam hua

Aankhon se ZEYA aansu hai rawa'n
Sun kar royen sub peero jawa'n
Jo tu ne likha KAMI
yeh dard bhara nauha
Haye kohraam hua

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Seaech On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida