Salam Bibi Sakina (sa) ll Yarab watan chute na koi be watan na ho
(Salam)
Yarab watan chute
na koi be watan na ho
Gar be watan ho
sath main koi bahen na ho
Jis tarah Fatima
(sa) ka chaman dasht main luta
Barbad is tarah
kisi maa’n ka chaman na ho
Jaise tha garm
rait peh lasha Hussain (as) ka
Jalti zamee’n peh
lash koi be kafan na ho
Ho sath main agar koi beemar e natawa’n
Zanjeer tauq main woh aseer e mehan na ho
Pahchan paya beta na khud apne baap ko
Teero’n se is tara koi chalni badan na ho
Jhule main jhulta hai jo masoom be zaba’n
Teero’n ki zad peh aisa koi gul badan na ho
Woh din khuda dekhaye na shadi ho raat main
Aur dopahar main rand ko bhi dulhan na ho
Gar kamsini
main koi bhi beti yateem ho
Us ke gale main zalimo’n sitam ki rasan na ho
Bhai koi uthaye na apni bahen ki lash
Yarab kisi yateem ka kurta kafan na ho
Hai ISHTEYAQ ki yahi hasrat zaban par
Juz midhate Hussain (as) koi be sukhan na ho
Poet: ISHTEYAQ Sahab Mustafabadi
Jalalpur Ambedkar Nagar
…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment