Jab Ahle haram dasht main ban jate hain qaidi
(Nauha)
Jab Ahle haram dasht main ban jate hain qaidi
Abbas (as) ko tab yaad bahut karte hain qaidi
In sare aseero’n main Sakina (sa) he thi choti
Garden ki rasan khinchti to bachchi thi tadapti
Yeh dekh kay chalte huway ruk jate hain qaidi
Jab le kay chale aada suway sham barahna
Sub chehro’n se apne hain kiye balo’n se parda
Ro ro kay ridao’n kay liye kahte hain qaidi
Zindan main jab mar gai masoom Sakina (sa)
2 gaz bhi kafan pa na saki haye yateema
Gurbat peh Sakina (sa) ki bahut rote hain qaidi
Nauha By Anjuman Jafaria Redg. Jalalpur Ambedkar
Nagar
…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya jalalpuri
India
Comments
Post a Comment