Faras ki zeen se beshak utar gaye hain Hussain (as)

                       (Salam) 
Faras ki zeen se beshak utar gaye hain Hussain (as)
Zameen dhoond rahi hai kidhar gaye hain Hussain (as)

Karega shimr ka khanjar toh sirf sar ko juda x2
Wagarna laasha e Akbar (as) peh mar gaye hain Hussain 
(as)

Sare burida katey honth khoon chehre par x2
Ajeeb hal me sheere'n kay ghar gaye hain Hussain 
(as)

Main milne shaam ke zinda'n me aaunga tujhse x2
Ye baat akhri beti se kar gaye hain Hussain 
(as)

Kahi hain Qasim-o-Abbas (as) aur kahi'n Akbar x2
Kaha'n kaha'n tere tukde bikhar gaye hain Hussain (as)

Qazaa kay baad bhi bhai behen kay saath raha x2
Jidhar-jidhar gayi Zainab (sa) udhar gaye hain Hussain 
(as)

Kisi ne maara hai paththar bahen ko kya AKBAR x2
Jo karte karte tilawat thaher gaye hain Hussain 

(as)

............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                 India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida