Alwedai Nauha 8 Rabeeul Awwal ll Shah ka ahle aza hota hai matam tamam
(Nauha)
Aaj aza khane se hota hai rukhsat imam
Sayyada (sa) ne pala tha chakki jise pees kar
Aaj usi lal ka hota hai matam tamam
Haye ghazab be khata tan se kiya sar juda
Rone na paye haram kah kay mere tashna kaam
Arsh peh roohul amee’n kahte thay sar peet
kar
Sayyada (sa) kay lal ka hota hai matam tamam
Baqi hai jab tak yeh dam kam na kabhi hoga
gham
Ashk bahaye’n gay hum le le kay pyaso’n ka
gham
Saal bhar kay baad phir howay ga yeh gham
naseeb
Maut agar aagai khuld main hoga maqaam
Aakhri hai yeh alam aakhri taboot hai
Raunaq e gham hai tamam chutta hai be kas
imam
Baad shahe karbala bain yeh Zainab (sa) ka
tha
Bachche tadapte rahe paya na aab o taaam
Nala o shewan karo nusrate Shabbeer (as) main
Fatima (sa) ko pursa do hota hai matam tamam
Kijiye maula qabool aakhri hadya mera
Karte hain ahle aza nazr yeh ashko’n kay jaam
KAUSAR
e maghmoom ki aakhri hai ilteja
Nauha ko tu khatam kar padh kay durood o
salam
Nauha By Anjuman Zafrul Iman Usmapur Jalalpur A.N
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment