Aaj bhi Zainab (sa) ki aati hai sada bhai Hussain (as)

                      (Salam) 
Aaj bhi Zainab (sa) ki aati hai sada bhai Hussain (as) 
Tera chehra teri aankhein bhool kab payi Hussain (as)

Chalte naaqe se giraya khud ko jalti rait par
Ghutniyo'n ke bal mai teri laash tak aayi Hussain 
(as)

Bas mai ghabrayi thi khanjar tujhpe chalta dekh kar
Phir kisi mushkil main ghir kar mai na ghabrayi Hussain 
(as)

Kaun tha jo marne walon may nahi tha khubaru
Bhoolne baithi to kis kis ki na yaad aayi Hussain 
(as)

Bah rahe thay aankh se aansu teri rukhsat kay waqt
Phir koi aansu na tapka aankh pathrayi Hussain 
(as)

Haath main kooze liye sab aasma'n takte rahe
Abr ne ek boodh pani ki na barsayi Hussain 
(as)

Door uftada safar se laut kar maine NAVED
Thanda pani jab piya bas teri yaad aayi Hussain (as) 


............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                  India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida