Shab e Aashur nauha ll Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
(Nauha)
Awaaz hai yeh dasht main roohe Batool (sa) ki
Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
Kal uske sookhe halq peh chal jayegi churi
Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
Aye kash hoti zinda jahan main yeh gham zada
Kar deti apne aap ko is laal par fida
Afsos mil na pai mujhe itni zindagi
Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
Beti lahed ko chod kay aai hun isliye
Ik raat aur jeete huway dekh lun ise
Us bewatan ki baqi hai thodi si zindagi
Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
Jee bhar kay tu bhi deed ki hasrat nikal le
Bhai se choot jana hai ab dil Sambhal le
Beti hai mere lal ki yeh raat aakhri
Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Karbobala ki banna hai kal tujh ko Fatima (sa) Sookhe huway gale ko hai phir uske choomna Yeh zimmedari saunpti hai tujh ko maa teri Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
Zainab (sa) mere Hussain (as) ki khatir yeh kar dua
Allah us ko sabr ki taqat kare ata
Us ko utha kay lani hai mayyat har aik ki
Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
Jayega woh har aik tan e pash pash par
Us ko rulaya jayega 18 lash par
Har simt se lagayen gay naiza use shaqi

Seene se apne lal kay naiza nikale ga
Phir naujawa'n ki lash woh khaime main layega
Roye gi uske haal peh khud us ki be kasi
Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Nanhi si lash khode ga woh zulfeqaar se Farigh jo hoga nanhi si mayyat ko gaad kay Karne salam aayega khaime main aakhri Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)
Ta Asr kal woh subah se lashe uthayega
Aakhir main zibh us ko bhi kar dala jayega
maqtal main hogi lash mere lal ki padi

Zahra (sa) ka izterab baya'n kya kare ZAFAR
Roti thi baith kar kabhi khaime ki pusht par
Pahlu peh hath rakhe huway kahti thi yahi

Poet: Maulana Zafar Sahab Mustafabadi Moqeem (Gujrat) India
Nauha By Anjuman Jafaria Redg.Jalalpur Ambedkar Nagar UP
............Zeya Abbas Haideri...........
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India

Comments
Post a Comment