Bhai ko ab wida karo Zainab (sa)
(Nauha)
Bhai ko ab wida karo Zainab (sa)
Farz maa'n ka ada karo Zainab (sa)
Dil kay you'n tukde hote dekha hai
Lash e Qasim (as) bikharte dekha hai
Nau jawan ko tadapte dekha hai
Mere dukh ki dawa karo Zainab (sa)
Bhai……………………………………
Aada kahimo'n ko jab jalayengay
Bachche dahshat se kanp jayengay
Roye to taziyane kahyengay
Tum dilasa diya karo Zainab (sa)
Bhai……………………………………..
Sar se chadar laeen cheenegay
Bazuon main rasan bhi bandhengay
Dar badar be rida phirayengay
Sabr tum kar liya karo Zainab (sa)
Bhai……………………………………
Uth gaya zindagi ka sarmaya
Dunga sar main ne tha kiya wada
Run main karna hai aakhri sajda
Shukr e khaliq ata karo Zainab (sa)
Bhai………………………………….
Tum ko duniya main hai abhi rahna
Aye bahen jab namaz e shab padhna
Mujh ko bhi yaad kar liya karna
Haq main mere dua karo Zainab (sa)
Bhai……………………………………….
Jab Sakina(sa) tamanche khayegi
Yaad meri use satayegi
Mujh ko maqtal main ja kay dhoondhe gi
Tum hifazat kiya karo Zainab (sa)
Bhai…………………………………………
Yeh jo ZAMIN hai shayar e Shabber (as)
Iske nauhon ko bakhsh do tafseer
Aaj ban jaye uski bhi taqdeer
Fikr aisi ata karo Zainab (sa)
Bhai…………………………………………
Poet: Janab ZAMIN Sahab (Hyd) India
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment