Madina ja kay bahen ko salam kah dena


          (Nauha) 
Sakina (sa) kahti thi apni phuphi se ro ro kar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena
Meri mareeza bahen ko salam kah dena
Na ja sakungi palat kay dobara ab main ghar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena
Hai karti tum se waseeyat faqat yahi muztar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena

Mujhe yaqee’n hai mulaqaat ab nahi hogi
Meri bahen se koi baat ab nahi hogi
Zarur yaad mareeza woh kar rahi hogi
Meri judai se haye tadap rahi hogi
Hai kaisa haal bahen ka nahi hai us ko khabar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena

Phuphi palat kay madina kabhi jo jao gi
Meri mareeza bahen ko gale lagao gi
Agar jo puche gi mujh ko to kya batao gi
Bahen ko dekh kay aans’u faqat bahao gi
Meri mareeza bahen ko salam kah dena
Madina ja kay bahen ko salam kah dena

Jo puche mujh ko Sakina (sa) nazar nahi aati
To kahna sham kay zinda’n main hai bahen soti
Na kahna mere gale main rasan bandhi thi phuphi
Nahi to sun kay woh mar jayegi bahen meri
To hogi taza museebat yeh aale Ahmed par
Madina ja kay bahen ko salam kah dena

Jo puche mar gai kaise phuphi Sakina (sa) meri
To kahna jheli hain bachchi ne sakhtiya’n itni
Jo marte thay tamanche teri bahen ko shaqi
Chacha ko bhai ko baba ko yaad karti thi
Batana ranj o masayeb se mar gai khahar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena

Jo puche zulm o sitam kya hua Sakina (sa) par 
To kahna apne kaleje ko tham le muztar
Batana baad main bandhi gai thi naqe par
Gala bhi uska bandha tha rasan main you’n kas kar
Thi sans leti badi mushkilo’n se ghut ghut kar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena

Agar jo puche kaha’n thay mere chacha Abbas (as)
To kahna pani jo lane gaye chacha Abbas (as)
Lab e furat peh he rah gaye chacha Abbas (as)
Yeh zulm dekh na pate tere chacha Abbas (as)
Bala kay dasht main barbad ho gaya sub ghar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena

Jo puche kyon nahi aaya mera jawa’n bhaiyya
To kahna sun kay kaleje ko tham le dukhiya
Laga kaleje peh Akbar (as) kay is tarah naiza
Ulajh kay rah gaya us main jigar brother ka
Ragad kay aidiya’n woh mar gaya meri muztar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena

Zarur puche gi baba ko aur Asghar (as) ko
Badi he aas se dekhe gi haye mather ko
Lagaye rakhna kaleje se meri khahar ko
Woh kis tarah se bhula de’n lutay huway ghar ko
Tasalli dena mareeza ko aye phuphi ja kar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena

Sakina (sa) kahti thi ZAHID yeh haal mal mal kay
Madina jayega wapas jo qafela chut kay
To surah e fateha padh dena meri turbat peh
Andhere zinda’n main tanha rahungi main kaise
Tadap kay kahti rahi bus yeh dukhtar e sarwar
Madina ja kay bahen ko salam kah dena


Poet: Janab ZAHID Mustafabadi Jalalpur Ambedkar Nagar

Nauha By Anjuman Jafaria Redg. Mustafabad Jalalpur Ambedkar Nagar

…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
              India


Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida