Nauha Bibi Sakina ll Baba bahut andhera hai - dar lagta hai ll

                      (Nauha)
Baba bahut andhera hai - dar lagta hai
Zinda’n main ab basera hai - dar lagta hai

Shimr e laee’n dekhata hai khamjar jo baar baar – dar lagta hai
Durre tamanche marta mujh ko yeh khoon khar – dar lagta hai
Had ho gai sitam ki – kurta jalata hai  – baba bahut andhera hai 

Sub kay gale main hai rasan main sub se choti hun – dar lagta hai
Dukhta hai gala is liye panjo’n peh chalti hun – dar lagta hai
Beti peh aap ki taras – koi na khata hai – baba bahut andhera hai

Kano se mere shimr ne cheene hain baliya’n – dar lagta hai
Bahta hai khoon kano se sahmi hain bibiya’n – dar lagta hai
Ghabra kay kanpti hun – woh muskurata hai – baba bahut andhera hai

Sub sar barahna bibiya’n darbar main khadi – dar lagta hai
Chehre chupati balo’n se hai sabr ki ghadi – dar lagta hai
Be bus gharana aap ka – aansu bahata hai – baba bahut andhera hai

Beemar bhai par sitam karta hai sitamgar – dar lagta hai
Girta hai lahu pusht se Abid (as) ka zamee’n par – dar lagta hai
Pahna kay tauq o bediya’n – kode lagata hai – baba bahut andhera hai

Seene peh aap kay mujhe ik baar sula lo – dar lagta hai
Aagosh main le lo mujhe godi main utha lo – dar lagta hai
Dil yaad kar kay aap ko – bechain rahta hai – baba bahut andhera hai

Baba tumhari ladli har zulm sah chuki – dar lagta hai
Kha kha kay taziyane zakhmi bhi ho chuki – dar lagta hai
Rukti hai meri sanse’n – dum mera jata hai – baba bahut andhera hai

Har soo andhera chaya hai zinda’n hai darona – dar lagta hai
Shiddat ki pyas se meri sookhi hain haddiya’n – dar lagta hai
Kab jayengay watan ko – ghar yaad aata hai – baba bahut andhera hai

Nauha By Anjuman Hyderia Al – Hind Hyd


............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                   India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida