Zinda'n Se Chut Kay Zainab (sa) Karbobala Main Aayi
(Nauha)
Zinda’n se chut kay Zainab
(sa) karbobala main aayi
Turbat peh shah e dee’n ki
boli falak satayi
Jati hun ab madine – uth tho
lahed se bhai
Zinda’n se chut kay……………………………..
Laye thay sath le kar ik
rose tum watan se
Ab bolte nahi ho kya ho
khafa bahen se
Ruthe ho kis khata par –
yeh to batao bhai
Zinda’n se chut kay……………………………..
Sar ko kata kay soye choda
bahen ko kis par
Abbas (as) hain na Akbar
(as) Qasim (as) hain aur na Asghar (as)
Ab jee kay kya karegi – yeh
Fatima (sa) ki jayi
Zinda’n se chut kay……………………………..
Baad aap kay shah e dee’n
khaima jala hamara
Majboor bibiyo’n ko qaid e
rasan main bandha
Sooji hui hai dekho – ab tak
meri kalayi
Zinda’n se chut kay……………………………..
12 gale bandhe thay choti
si ik rasan main
Be yaro be madad thay
karbobala kay ban main
Hum bekaso’n ki koi – suntan
na tha duhayi
Zinda’n se chut kay……………………………..
Tum bekafan thay main bhi
balway main be rida thi
Pyase thay aap main bhi
pyasi thi gham zada thi
Qaidi bani rasan main –
bandhi gayi kalayi
Zinda’n se chut kay……………………………..
Abbas (as) sar peh hote
chinti kabhi na chadar
Akbar (as) ki zindagi main
phirti phuphi na dar dar
Qismat ne haye kar di – un se
magar judayi
Zinda’n se chut kay……………………………..
Lashe peh zalimo’n ne rone
diya na hum ko
Begor o bekafan thay choda
zamee’n peh hum ko
Taqdeer se gila hai – kab tak
bahen ko bhai
Zinda’n se chut kay……………………………..
Aada ki sakhtiyo’n se
majboor gar na hoti
2 gaz kafan kahi’n se main
ja kay mang lati
Urya’n na tera lasha –
maqtal main rahta bhai
Zinda’n se chut kay……………………………..
Hatho’n se apne tujh ko
khahar kafan penhati
Bachcho’n ko sath le kar
mayyat ko bhi uthati
Qaid e sitam se lekin –
bhaiyya na thi rehayi
Zinda’n se chut kay……………………………..
Sar nange zalimo’n ne hum
ko aseer kar kay
Bazaro’n main phiraya ta
sham karbala se
Ummat ko Mustafa ki –
ghairat zara na aayi
Zinda’n se chut kay……………………………..
Aulad e Mustafa ka koi na
tha yagana
Dushman thi sari duniya
aisa phira zamana
Faryad kis se karti –
Zainab (sa) falak satayi
Zinda’n se chut kay……………………………..
Padhte ho jis ka kalma un
ki nawasiyo’n ko
Muhtaaj kar diya tha baad
aap kay rida ko
Darbar e be haya main –
main sar khule thi bhai
Zinda’n se chut kay……………………………..
Nauha by Anjuman Jafaria
Redg.Mustafabad Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India
…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya
Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment