Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa) Mili hai rahayi chalo ab madina


                 (Nauha)
Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa)
Mili hai rahayi chalo ab madina
Utho aye Sakina (sa)
Mili hai rahayi chalo ab madina

Yeh purhaul zinda’n kay tareek saye
Yaha’n khoon kay tu ne aansu bahaye
Khuda is jagah par kisi ko na laye
Kisi be watan ko na qaidi banaye
Dua teri ab aasra hai Sakina (sa)
Mila aaj hukm e rehayi Sakina (sa)
Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa)
Mili hai rahayi chalo ab madina

Yeh chota sa sin aur woh zalim kay durre
Yeh nazuk gale par nisha’n rassiyo’n kay
Tamcho’n ki zarbo’n se rukhsar neele
Yeh kurta jo dooba hua hai lahu se
Utho qabr e Ahmed peh jayengay bibi
Unhi ko yeh halat dekhayengay bibi
Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa)
Mili hai rahayi chalo ab madina

Suno pahle karbobala hum chalengay
Wahi’n par shaheedo’n ka matam karengay
Har ik qabr par fateha bhi padhengay
Tarayi peh Abbas (as) se bhi milengay
Khuda kay liye us ko kuch na batana
Lahu apne kano ka usse chupana
Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa)
Mili hai rahayi chalo ab madina

Jo hum par Sakina (sa) masayeb hain toote
Woh sub dasta’n main chupaungi usse
Main shano peh bhi hath rakh lungi apne
Na dekhe kahin daagh woh rassiyo’n kay
Mera ba wafa chain payega kaise
Woh be hath hai munh chupayega kaise
Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa)
Mili hai rahayi chalo ab madina

Milega wahi’n mera mazloom bhai
Main jis ki judai main mar bhi na payi
Use dasht e ghurbat mein main chod aayi
Mujhe qaid khane main taqdeer layi
Lage thay bahut teer uske badan par
Tadapta woh hoga abhi tak kafan main
Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa)
Mili hai rahayi chalo ab madina

Achanak lahed se sada aayi ANWAR
Main majboor hun aye shah e dee’n ki khahar
Phuphi main ne manga tha jo hai sitam par
Wahi’n maut mujh ko huyi hai mayassar
Na chode ga ab mujh ko yeh qaid khana
Mera mustaqil hai yahi’n ab thikana
Yeh kahti thi Zainab (sa) utho aye Sakina (sa)
Mili hai rahayi chalo ab madina

Poet: Janab ANWAR Allahabad

…………Zeya Abbas Haideri…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida