Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab (sa) hain

                         (Nauha)
Abdullah ne farmaya kya aap hi Zainab (sa) hain
ye hogaya kya hulya kya aap hi Zainab (sa) hain

2. kyun khaak pe bhaithi hain kya hogaya shahzadi
    kuchh mujhse bhi famaye'n kaise hui barbadi 
    mein kyun nahi pehchana 
    kya aap hi Zainab (sa) hain

3. Main samjha koi bibi aayi hai paye hajat 
    Main dekh ke ghabraya Allah re ye ghurbat 
    Mujhko na yaqee(n) ayaa 
    kya aap hi Zainab (sa) hain

4. Yeh soch raha tha main hai aaj udaasi kyu'n  
    Ghar aati nahi'n waapis Ahmed ki nawasi kyu'n  
    Yeh dekh ke ghabraya 
    kya aap hi Zainab Hain

5. Bachay hain meray kyu'n kar nazro'n se nihaa'n Bibi   
    Haan Aun o Mohamad ko Chod aayi Kahan Bibi  
    Bibi na kare'n girya 
    kya aap hi Zainab Hain    

6. Kyu'n khaak hain balo'n mein Kyu'n Neel Hain bazu  par  
    Yeh khoon ke qatro'n se rangeen Hai kyun chaadar  
    Aati hain nazar dukhya
    kya aap hi Zaynab Hain

7. Batlaiye shahzadi kyun aap sisakti Hain 
    Pardes mein kya guzri kyun aisay bilakti hain  
    Yeh zakhm laga kaisa 
    kya aap hi Zaynab Hain  

8. Bibi se ZAFAR ro kar kahte thay yeh Abdullah 
    TEJANI bahut muztar kahte thay yeh Abdullah 
    Padhti hai rida nauha 
    kya aap hi Zainab (sa) hain

Poet: Z A F A R - A B B A S - Z A F A R


............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                    India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida