Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho ll Anjuman Jafaria Redg,Mustafabad Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India


                     (Nauha)
Muntashir ho kar fiza main dard kay nalo utho
Aye zaban e khushk se lipte huway chalo utho
Raushni quran ki eamaan kay halo utho
Roze chehlum aagaya wahdat kay matwalo utho
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Qafela aaya hai lut kar pasba’n koi nahi
Maut saya kar chuki hai hum zaba’n koi nahi
Sub zaeefo na tawa’n hain naujawa’n koi nahi
Khak khaimo ki batati hai yaha’n koi nahi
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Chayi hai mayoosiya’n bhi har dil e muztar kay pass
Sooke aansu ab kaha’n baqi hai chashm e tar kay pass
Kab se hai khamosh laila turbat e Akbar (as) kay pass
Maa’n ka dil bhi dafn hai qabr e Ali Asghar (as) kay pass
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Aane wale de chuke hain har qadam par imteha’n
Sar zameen e sham main choda hai qismat ka nisha’n
Saal bhar tak qaid khane  main uthayi’n sakhtiya’n
Qabr main Asghar (as) yaha’n hai aur Sakina (sa) hai waha’n
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Bhool sakte he nahi qaid e sitam ki sakhtiya’n
Kaun dharas deti hain Sajjad (as) ab tak natawa’n
Neel kay ubhre huway kal tak jaha’n thi resma’n
Layi hai saughat main Kulsoom (sa) bazu kay nisha’n
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Ujda jangal bas gaya bigde madina bhi nahi
Khoon kay toofan main ujda safeena bhi nahi
Aao aye Abbas (as) milne ka qareena bhi nahi
Mashk di thi jis ne tum ko woh Sakina (sa) bhi nahi
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Maut aayi qaid khane main jafa ki goad main
Kahti thi ammu mere hain karbala ki goad main
Mil gaya hoga sukoon e dil wafa ki goad main
Jab bhateeji aa gayi hogi chacha ki goad main
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Khoon dil ka pesh kar do chashm e pur num kay liye
Qafela muddat kay baad aaya hai matam kay liye
Qabr se aayi sada Shabbeer (as) kay gham kay liye
Jao jabir be kaso’n kay khair maqdam kay liye
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Qismate’n barbadiyo’n main aazmayi jaye gi
Bargah e bahte ashko’n se lagayi jaye gi
Hai 72 turbate’n dil se lagayi jaye gi
Kis ki kis ki qabr peh shamma jalayi jayegi
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Kaun roke ga ab ashko’n ki rawani aye Hussain (as)
Dil ko tadpaye gi Akbar (as) ki jawani aye Hussain (as)
Aankho’n main phir jayegi tashna dahani aye Hussain (as)
Samne Zainab (sa) kay jab aaye ga pani aye Hussain (sa)
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Majmaye qalbo jigar tadpane wala aye Hussain (as)
Gham ka badal phir fiza main chane wala aye Hussain (as)
Phir wahi waqt e judai aane wala aye Hussain (as)
Qafela simt e madina jane wala aye Hussain (as)
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Kya gila hoga mohabbat se khuda hafiz Hussain (as)
Shikwa hai Abid (as) ko qismat se khuda hafiz Hussain (as)
Toota dil Zainab (sa) ki halat se khuda hafiz Hussain (as)
Qafela jata hai turabt se khuda hafiz Hussain (as)
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Be kasi ki raah main koi tamanna bhi nahi
Naujawani bhi nahi Qasim (as) ka sehra bhi nahi
Jis main soye thay Ali Akbar (as) woh khaima bhi nahi
Le kay kya jaye watan Asghar (as) ka jhula bhi nahi
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Be khabar soye huway tashna dahano Al-wida
Barchiya’n khaye huway aye naujawano Al-wida
Hai zameen e karbala kay mehmano Al-wida
Qatl kay aansu TASDDUQ kay nishano Al-wida
Aye Ali o (as) Fatima (sa) ki goad kay palo utho
Ayi hai Zainab (sa) utho aye karbala walo utho

Poet: Late TASADDUQ Sahab 

Nauha By Anjuman Jafaria Redg,Mustafabad Nagpur Jalalpur Ambedkar Nagar UP India 



............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                     India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida